الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {يا أيها الذين آمنوا لا يسخر قوم من قوم عسى أن يكونوا خيرا منهم} إلى قوله: {فأولئك هم الظالمون} :
Allah Taala ka farmaan "aye imaan walo! koi qaum kisi dusri qaum ka mazaq na banaye usay haqeer na jaana jaaye kya maloom shayad woh un se Allah ke nazdeek behtar ho." "fa-ulaaika hum az-zaalimoon" tak.
Hadith Number: 6042
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عبد الله بن زمعة، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان يضحك الرجل مما يخرج من الانفس وقال: بم يضرب احدكم امراته ضرب الفحل او العبد ثم لعله يعانقها"، وقال الثوري، ووهيب، وابو معاوية، عن هشام، جلد العبد.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Abdullah bin Zamah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kisi ki reeh kharij hone par hans-ne se mana farmaya aur Aap ne yeh bhi farmaya ke tum mein se kis tarah ek shakhs apni biwi ko zor se maarta hai jaise oont, haalan ke is ki poori umeed hai ke shaam mein usay woh gale lagaye ga. Aur Sawri, Wuhaib aur Abu Muawiyah ne Hisham se bayan kiya ke (janwar ki tarah) ke bajaye lafz ghulam ki tarah ka istemal kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3377
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عبد الله بن زمعة، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم"وذكر الذي عقر الناقة، قال: انتدب لها رجل ذو عز ومنعة في قوة كابي زمعة".
Hum se Humaidi ne bayan kiya kaha hum se Sufyan Bin Uyaina ne bayan kiya kaha hum se Hisham Bin Urwah ne bayan kiya un se un ke walid ne aur un se Abdullah Bin Zama'a ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna (khutba ke dauran) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne qaum ka zikar kiya jinhon ne ontni ko zibah kar diya tha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke (Allah ki qasam bheji hui) is (ontni) ko zibah karne wala qaum ka ek bahut hi ba-izzat aadmi (Qaidar nami) tha jaise hamare zamane mein Abu Zama'a (Aswad Bin Muttalib) hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5204
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عبد الله بن زمعة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يجلد احدكم امراته جلد العبد ثم يجامعها في آخر اليوم".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , in se Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid ne aur un se Abdullah bin Zama'h razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum mein koi shakhs apni biwi ko ghulamon ki tarah na maare ke phir doosre din is se hum-bistar ho ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة