الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَدَبِ
The Book of Al-Adab (Good Manners)
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لاَ يَسْخَرْ قَوْمٌ مِنْ قَوْمٍ عَسَى أَنْ يَكُونُوا خَيْرًا مِنْهُمْ} إِلَى قَوْلِهِ: {فَأُولَئِكَ هُمُ الظَّالِمُونَ}:
Chapter. The Statement of Allah:“O you who believe! Let not a group scoff at another group...”(V.49:11)
Show diacritics
Hadith Number: 6042
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عبد الله بن زمعة، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان يضحك الرجل مما يخرج من الانفس وقال: بم يضرب احدكم امراته ضرب الفحل او العبد ثم لعله يعانقها"، وقال الثوري، ووهيب، وابو معاوية، عن هشام، جلد العبد.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Abdullah bin Zamah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kisi ki reeh kharij hone par hans-ne se mana farmaya aur Aap ne yeh bhi farmaya ke tum mein se kis tarah ek shakhs apni biwi ko zor se maarta hai jaise oont, haalan ke is ki poori umeed hai ke shaam mein usay woh gale lagaye ga. Aur Sawri, Wuhaib aur Abu Muawiyah ne Hisham se bayan kiya ke (janwar ki tarah) ke bajaye lafz ghulam ki tarah ka istemal kiya.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6043
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا يزيد بن هارون، اخبرنا عاصم بن محمد بن زيد، عن ابيه، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم بمنى:" اتدرون اي يوم هذا؟" قالوا: الله ورسوله اعلم، قال:" فإن هذا يوم حرام، افتدرون اي بلد هذا؟" قالوا: الله ورسوله اعلم، قال:" بلد حرام، اتدرون اي شهر هذا؟" قالوا: الله ورسوله اعلم، قال:" شهر حرام"، قال:" فإن الله حرم عليكم دماءكم واموالكم واعراضكم كحرمة يومكم هذا في شهركم هذا في بلدكم هذا".
Mujh se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yazid bin Haroon ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Aasim bin Muhammad bin Zayd ne khabar di, unhon ne kaha mujhe mere walid aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (Hajjat-ul-Wada) ke mauqa par Mina mein farmaya tum jaante ho yeh kaun sa din hai? Sahabah bole Allah aur us ke Rasool ko zyada ilm hai. Farmaya yeh hurmat wala din hai (phir farmaya) tum jaante ho yeh kaun sa shehar hai? Sahabah bole Allah aur is Rasool ko zyada ilm hai, farmaya yeh hurmat wala shehar hai. (Phir farmaya) tum jaante ho yeh kaun sa mahina hai? Sahabah bole Allah aur is ke Rasool ko zyada ilm hai, farmaya yahi hurmat wala mahina hai. Phir farmaya bilashubha Allah ne tum par tumhara (ek doosre ka) khoon, maal aur izzat isi tarah haram kiya hai jaise is din ko us ne tumhare is mahine mein aur tumhare is shehar mein hurmat wala banaya hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain