الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein
باب بدء الأذان:
Bab: Is bayan mein ke azan kyun kar shuru hui.
Hadith Number: 604
حدثنا محمود بن غيلان، قال: حدثنا عبد الرزاق، قال: اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني نافع، ان ابن عمر كان، يقول: كان المسلمون حين قدموا المدينة يجتمعون فيتحينون الصلاة ليس ينادى لها، فتكلموا يوما في ذلك، فقال بعضهم: اتخذوا ناقوسا مثل ناقوس النصارى، وقال بعضهم: بل بوقا مثل قرن اليهود، فقال عمر: اولا تبعثون رجلا ينادي بالصلاة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يا بلال قم فناد بالصلاة".
Hum se Mahmood bin Ghailan ne bayan kiya , kaha ke hum se Abdur Razzaq bin Hammam ne , kaha ke humein Abdul Malik Ibn Juraij ne khabar di , kaha ke mujhe Nafi ne khabar di ke Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma kehte thay ke jab musalman hijrat kar ke Madina pohanche to waqt muqarrar kar ke namaz ke liye aate thay . Is ke liye azan nahi di jati thi . Ek din is baray mein mashwara hua . Kisi ne kaha nasara ki tarah ek ghanta le liya jaye aur kisi ne kaha ke yahoodiyon ki tarah narsinga bugal bana lo , is ko phoonk diya karo lekin Umar raziyallahu anhu ne farmaya ke kisi shakhs ko kyun na bhej diya jaye jo namaz ke liye pukar diya kare . Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne isi raye ko pasand farmaya aur Bilal se farmaya ke Bilal! uth aur namaz ke liye azan de .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3457
حدثنا عمران بن ميسرة، حدثنا عبد الوارث، حدثنا خالد، عن ابي قلابة، عن انس رضي الله عنه، قال:" ذكروا النار والناقوس فذكروا اليهود والنصارى فامر بلال ان يشفع الاذان وان يوتر الإقامة".
Hum se Imran Bin Maisarah ne bayan kiya kaha hum se Abdul Waris ne bayan kiya kaha hum se Khalid ne un se Abu Qilabah ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke (namaz ke liye elan ke tariqe par bahas karte waqt) Sahaba ne aag aur naqoos ka zikr kiya lekin baaz ne kaha ke ye to Yahood-o-Nasara ka tariqa hai. Aakhir Bilal (Radi Allahu Anhu) ko hukam hua ke azan mein (kalimat) do do dafa kahein aur takbeer mein ek ek dafa
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة