الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَذَانِ
The Book of Adhan
بَابُ بَدْءُ الأَذَانِ:
Chapter. How the Adhan for Salat (prayer) was started.
Show diacritics
Hadith Number: Q603
وقوله عز وجل: وإذا ناديتم إلى الصلاة اتخذوها هزوا ولعبا ذلك بانهم قوم لا يعقلون سورة المائدة آية 58 وقوله: إذا نودي للصلاة من يوم الجمعة سورة الجمعة آية 9.
Aur Allah Taala ke is irshad ki wazahat ke aur jab tum namaz ke liye azan dete ho , to woh is ko mazaaq aur khel bana lete hain . Yeh is wajah se ke yeh log nasamajh hain . Aur Allah Taala ka irshad hai ke jab tumhein juma ke din namaz juma ke liye pukara jaye . To Allah ki yaad karne ke liye foran chale aao .


Show diacritics
Hadith Number: 603
حدثنا عمران بن ميسرة، حدثنا عبد الوارث، حدثنا خالد الحذاء، عن ابي قلابة، عن انس، قال: ذكروا النار والناقوس، فذكروا اليهود، والنصارى،: ذكروا النار" فامر بلال ان يشفع الاذان وان يوتر الإقامة".
Hum se Imran bin Maisara ne bayan kiya , kaha ke hum se Abdul Warith bin Saeed ne bayan kiya , kaha ke hum se Khalid Haza ne Abu Qalaba Abdullah bin Zaid se , unhon ne Anas raziyallahu anhu se ke namaz ke waqt ke elaan ke liye logon ne aag aur naqoos ka zikr kiya . Phir yahood wa nasara ka zikr aa gaya . Phir Bilal raziyallahu anhu ko yeh hukm hua ke azan ke kalimat do do martaba kahen aur iqamat mein ek ek martaba .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 604
حدثنا محمود بن غيلان، قال: حدثنا عبد الرزاق، قال: اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني نافع، ان ابن عمر كان، يقول: كان المسلمون حين قدموا المدينة يجتمعون فيتحينون الصلاة ليس ينادى لها، فتكلموا يوما في ذلك، فقال بعضهم: اتخذوا ناقوسا مثل ناقوس النصارى، وقال بعضهم: بل بوقا مثل قرن اليهود، فقال عمر: اولا تبعثون رجلا ينادي بالصلاة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يا بلال قم فناد بالصلاة".
Hum se Mahmood bin Ghailan ne bayan kiya , kaha ke hum se Abdur Razzaq bin Hammam ne , kaha ke humein Abdul Malik Ibn Juraij ne khabar di , kaha ke mujhe Nafi ne khabar di ke Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma kehte thay ke jab musalman hijrat kar ke Madina pohanche to waqt muqarrar kar ke namaz ke liye aate thay . Is ke liye azan nahi di jati thi . Ek din is baray mein mashwara hua . Kisi ne kaha nasara ki tarah ek ghanta le liya jaye aur kisi ne kaha ke yahoodiyon ki tarah narsinga bugal bana lo , is ko phoonk diya karo lekin Umar raziyallahu anhu ne farmaya ke kisi shakhs ko kyun na bhej diya jaye jo namaz ke liye pukar diya kare . Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne isi raye ko pasand farmaya aur Bilal se farmaya ke Bilal! uth aur namaz ke liye azan de .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain