الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب لم يكن النبى صلى الله عليه وسلم فاحشا ولا متفحشا:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam sakht go aur badzabaan na the, "faahish" bakne wala aur "mutafahhish" logon ko hansane ke liye badzabaani karne wala behayaai ki baatein karne wala.
Hadith Number: 6031
حدثنا اصبغ، قال: اخبرني ابن وهب، اخبرنا ابو يحيى هو فليح بن سليمان، عن هلال بن اسامة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" لم يكن النبي صلى الله عليه وسلم سبابا ولا فحاشا ولا لعانا، كان يقول لاحدنا عند المعتبة: ما له ترب جبينه".
Hum se Asbagh bin Faraj ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe Abdullah bin Wahb ne khabar di unhon ne kaha hum ko Abu Yahya Falih bin Sulayman ne khabar di, unhein Hilal bin Usamah ne bayan kiya aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam na gaali dete thay na bad-go thay na bad-kho thay aur na lanat-malamat karte thay. Agar hum mein se kisi par naraz hote itna farmate usay kiya ho gaya hai, is ki peshani mein khak lage.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6046
حدثنا محمد بن سنان، حدثنا فليح بن سليمان، حدثنا هلال بن علي، عن انس، قال: لم يكن رسول الله صلى الله عليه وسلم فاحشا ولا لعانا ولا سبابا، كان يقول عند المعتبة:" ما له ترب جبينه".
Hum se Muhammad bin Sinan ne bayan kiya, kaha hum se Falih bin Sulayman ne bayan kiya kaha hamase Hilal bin Ali ne bayan kiya aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam fuhsh-go nahi thay, na Aap lanat-malamat karne wale thay aur na gaali dete thay, Aap ko bahut ghussa aata to sirf itna keh dete, usay kiya ho gaya hai, is ki peshani pe khak lage.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة