الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فلا يؤذ جاره:
Jo Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhta ho woh apne padosi ko takleef na pahunchaye.
Show diacritics
Hadith Number: 6019
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني سعيد المقبري، عن ابي شريح العدوي، قال: سمعت اذناي وابصرت عيناي حين تكلم النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليكرم جاره، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليكرم ضيفه جائزته"، قال: وما جائزته يا رسول الله؟ قال:" يوم وليلة، والضيافة ثلاثة ايام فما كان وراء ذلك فهو صدقة عليه، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليقل خيرا او ليصمت".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Saeed Muqbiri ne bayan kiya, in se Abu Shuraih Adawi razi Allahu anhu ne bayan kiya unhon ne kaha ke mere kaanon ne suna aur meri aankhon ne dekha jab Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam guftagu farma rahe thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh apne parosi ka ikram kare aur jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh apne mehman ki dastoor ke muwafiq har tarah se izzat kare. Poochha: ya Rasool اللہ! Dastoor ke muwafiq kab tak hai. Farmaya ek din aur ek raat aur mezbani teen din ki hai aur jo is ke baad ho woh is ke liye sadqa hai aur jo Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh behtar baat kahe ya khamosh rahe.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6135
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابي شريح الكعبي، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليكرم ضيفه جائزته يوم وليلة والضيافة ثلاثة ايام، فما بعد ذلك فهو صدقة، ولا يحل له ان يثوي عنده حتى يحرجه".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Saeed bin Abi Saeed Muqbiri ne, unhein Abu Shuraih Kabi razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho usay apne mehman ki izzat karna chahiye. Is ki khatir-dari bas ek din aur raat ki hai mehmani teen din aur raaton ki, is ke baad jo ho woh sadqa hai aur mehman ke liye jaiz nahi ke woh apne mezban ke paas itne din thehar jaye ke usay tang kar daale.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6476
حدثنا ابو الوليد، حدثنا ليث، حدثنا سعيد المقبري، عن ابي شريح الخزاعي، قال: سمع اذناي، ووعاه قلبي النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" الضيافة ثلاثة ايام جائزته، قيل: ما جائزته، قال: يوم وليلة، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليكرم ضيفه، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليقل خيرا او ليسكت".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha hamase Saeed Muqbiri ne bayan kiya , in se Abu Shuraih Khuza'i ne bayan kiya unhon ne kaha ke mere donon kaanon ne suna hai aur mere dil ne yaad rakkha hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh farmaya thu ”mehmani teen din ki hoti hai magar jo lazmi hai woh to poori karo .“ Poochha gaya lazmi kitni hai ? Farmaya ke ek din aur ek raat aur jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai usay chahiye ke apne mehman ki khatir kare aur jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai usay chahiye ke achhi baat kahe warna chup rahe .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة