الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب الوصل فى الشعر:
Baalon mein alag se banawati chotiya lagana aur dusre baal jodna.
Hadith Number: 5938
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عمرو بن مرة، سمعت سعيد بن المسيب، قال: قدم معاوية المدينة آخر قدمة قدمها فخطبنا، فاخرج كبة من شعر قال:" ما كنت ارى احدا يفعل هذا غير اليهود، إن النبي صلى الله عليه وسلم سماه الزور"، يعني الواصلة في الشعر.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha hum se Amr bin Murrah ne bayan kiya ke main ne Saeed bin al-Musayyab se suna, unhon ne bayan kiya ke Muawiyah razi Allahu anhu aakhri martaba Madinah Munawwarah tashreef laaye aur hamain khutba diya. Aap ne baalon ka ek guchha nikaal ke kaha ke yeh Yahudiyon ke siwa aur koi nahi karta tha. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay «zoorun» yani fareebi farmaya yani jo baalon mein jorr lagaye to aisa aadmi mard ho ya aurat woh makkar hai jo apne makr o fareeb par is taur par parda daalta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3468
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن، انه سمع معاوية بن ابي سفيان عام حج على المنبر فتناول قصة من شعر وكانت في يدي حرسي، فقال: يا اهل المدينة اين علماؤكم سمعت النبي صلى الله عليه وسلم" ينهى عن مثل هذه، ويقول: إنما هلكت بنو إسرائيل حين اتخذها نساؤهم".
Hum se Abdullah Bin Maslamah ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Humaid Bin Abdur Rahman ne aur unhon ne Muawiyah Bin Abi Sufyan (Radi Allahu Anhuma) se suna ek saal jab wo Hajj ke liye gaye hue thay to minbar-e-Nabwi par kharay ho kar unhon ne peshani ke balon ka ek kuccha liya jo un ke chokidar ke hath mein tha aur farmaya: Ae Madinah walon! Tumhare ulama kidhar gaye mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is tarah (baal jorne ki) mamanat farmayi thi aur farmaya tha ke Bani Israel par barbadi is waqt aayi jab (shariat ke khilaf) un ki auraton ne is tarah baal sanwarne shuru kar diye thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة