الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب هل يجعل نقش الخاتم ثلاثة أسطر:
Angoothi ka kandah teen satron mein karna.
Show diacritics
Hadith Number: 5878
حدثني محمد بن عبد الله الانصاري، قال: حدثني ابي، عن ثمامة، عن انس، ان ابا بكر رضي الله عنه، لما استخلف كتب له، وكان نقش الخاتم ثلاثة اسطر، محمد سطر، ورسول سطر، والله سطر.
Mujh se Abdullah Ansari ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere walid Abdullah bin Musanna ne bayan kiya, in se Sumama bin Abdullah bin Anas ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke Abu Bakr razi Allahu anhu jab khaleefa huay to unhon ne mujhko zakat ke masail likhwa diye aur angoothi (mohar) ka naqsh teen satron mein tha ek satar mein ”Muhammad“ doosri satar mein ”Rasool“ aur teesri satar mein ”Allah“.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1448
حدثنا محمد بن عبد الله , قال: حدثني ابي , قال: حدثني ثمامة، ان انسا رضي الله عنه حدثه، ان ابا بكر رضي الله عنه كتب له التي" امر الله رسوله صلى الله عليه وسلم، ومن بلغت صدقته بنت مخاض وليست عنده وعنده بنت لبون، فإنها تقبل منه ويعطيه المصدق عشرين درهما او شاتين، فإن لم يكن عنده بنت مخاض على وجهها وعنده ابن لبون فإنه يقبل منه، وليس معه شيء".
Hum se Muhammad bin Abdullah ne byaan kiya . Kaha ke mujh se mere walid Abdullah bin Musanna ne byaan kiya . Kaha ke mujh se Sumamah bin Abdullah ne byaan kiya . Un se Anas razi Allahu anhu ne ke Abu Bakr Siddiq razi Allahu anhu ne unhein (apne daur-e-khilafat mein farz zakat se mutalliq hidayat dete hue) Allah aur Rasool ke hukm ke mutabiq yeh farmaan likha ke jis ka sadqa ”bint-e-makhad“ tak puhanch gaya ho aur us ke paas ”bint-e-makhad“ nahi balke ”bint-e-laboon“ hai . To us se wahi le liya jaye ga aur us ke badla mein sadqa wasool karne wala bees dirham ya do bakriyan zaid dede ga aur agar us ke paas ”bint-e-makhad“ nahi hai balke ”ibn-e-laboon“ hai to yeh ”ibn-e-laboon“ hi le liya jaye ga aur is soorat mein kuch nahi diya jaye ga ‘ woh mada ya nar oont jo teesre saal mein laga ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة