الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب اللِّبَاسِ
The Book of Dress
بَابُ هَلْ يُجْعَلُ نَقْشُ الْخَاتَمِ ثَلاَثَةَ أَسْطُرٍ:
Chapter. Should one get the engraving of the ring done in three lines?
Show diacritics
Hadith Number: 5878
حدثني محمد بن عبد الله الانصاري، قال: حدثني ابي، عن ثمامة، عن انس، ان ابا بكر رضي الله عنه، لما استخلف كتب له، وكان نقش الخاتم ثلاثة اسطر، محمد سطر، ورسول سطر، والله سطر.
Mujh se Abdullah Ansari ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere walid Abdullah bin Musanna ne bayan kiya, in se Sumama bin Abdullah bin Anas ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke Abu Bakr razi Allahu anhu jab khaleefa huay to unhon ne mujhko zakat ke masail likhwa diye aur angoothi (mohar) ka naqsh teen satron mein tha ek satar mein ”Muhammad“ doosri satar mein ”Rasool“ aur teesri satar mein ”Allah“.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5879
قال ابو عبد الله، وزادني احمد، حدثنا الانصاري، قال: حدثني ابي، عن ثمامة، عن انس، قال:" كان خاتم النبي صلى الله عليه وسلم في يده وفي يد ابي بكر بعده وفي يد عمر بعد ابي بكر، فلما كان عثمان جلس على بئر اريس، قال: فاخرج الخاتم فجعل يعبث به فسقط"، قال: فاختلفنا ثلاثة ايام مع عثمان فنزح البئر فلم يجده.
Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke mujh se Imam Ahmad bin Hanbal ne itna aur riwayat kiya, kaha mujh se Muhammad bin Abdullah Ansari ne, kaha ke mujh se mere walid ne, in se Sumama bin Abdullah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki angoothi wafat tak Aap ke hath mein rahi. Aap ke baad Abu Bakr razi Allahu anhu ke hath mein aur Abu Bakr razi Allahu anhu ke baad Umar razi Allahu anhu ke hath mein rahi phir jab Usman razi Allahu anhu ki khilafat ka zamana aaya to woh Areis ke kunwien mein ek martaba baithe, bayan kiya ke phir angoothi nikaali aur usay ulatne palatne lage ke itne mein woh (kunwien mein) gir gayi. Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke phir Usman razi Allahu anhu ke saath hum teen din tak usay dhoondte rahe aur kunwien ka saara pani bhi khainch dala lekin woh angoothi nahi mili.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain