الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب النعال السبتية وغيرها:
Saaf chamde ki jooti pehnna.
Hadith Number: 5852
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يلبس المحرم ثوبا مصبوغا بزعفران او ورس وقال: من لم يجد نعلين فليلبس خفين وليقطعهما اسفل من الكعبين".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , unhon ne kaha hamain Abdullah bin Dinar ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne muhram ko zafran ya wars se ranga hua kapra pehnne se mana farmaya tha aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jise jootay na milein woh mozay hi pehan lein lekin un ko takhne ke neeche tak kaat dein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 134
حدثنا آدم، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، عن نافع، عن ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وعن الزهري، عن سالم، عن ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم، ان رجلا ساله ما يلبس المحرم؟ فقال:" لا يلبس القميص ولا العمامة ولا السراويل ولا البرنس ولا ثوبا مسه الورس او الزعفران، فإن لم يجد النعلين فليلبس الخفين وليقطعهما حتى يكونا تحت الكعبين".
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha un ko Ibn-e-Abi Zi’b ne Nafe’ ke waaste se khabar di, woh Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se aur (doosri sanad mein) Zohri Salim se, kaha woh Ibn-e-Umar Radhiallahu Anhuma se, woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain ke ek shakhs ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha ke Ehraam baandhne waale ko kya pahanna chaahiye? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke na qamees pahne na Saafa baandhe aur na pajamah aur na koi Sarposh oodhe aur na koi Za’faran aur Wars se ranga huwa kapda pahne aur agar joote na milen to moze pahan le aur jnhein (is tarah) kaat de ke takhnon se neeche ho jaayen.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1841
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، قال: اخبرني عمرو بن دينار، سمعت جابر بن زيد، سمعت ابن عباس رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يخطب بعرفات:" من لم يجد النعلين، فليلبس الخفين، ومن لم يجد إزارا، فليلبس سراويل للمحرم".
Hum se Abu-al-Walid ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shuba ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe Amr Bin Dinar ne khabar di, unhon ne Jabir Bin Zaid se suna, unhon ne Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna, Aap ne kaha ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Arafat mein khutba dete suna tha ke jis ke pas ihram mein joote na hon wo mauze pehen le aur jis ke pas tehband na ho wo pajama pehen le
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1843
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عمرو بن دينار، عن جابر بن زيد، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" خطبنا النبي صلى الله عليه وسلم بعرفات، فقال: من لم يجد الإزار فليلبس السراويل، ومن لم يجد النعلين فليلبس الخفين".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne bayan kiya, un se Jabir Bin Zaid ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hum ko maidan-e-Arafat mein waaz sunaya, is mein aap ne farmaya ke agar kisi ko ihram ke liye tehband na mile to wo pajama pehen le aur agar kisi ko joote na milein to wo mauze pehen le
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5804
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن جابر بن زيد، عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من لم يجد إزارا فليلبس سراويل ومن لم يجد نعلين فليلبس خفين".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , in se Amr ne , in se Jabir bin Zayd ne aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (muhram ke baare mein) farmaya ”jise tehmat na mile woh pajama pehne aur jise chappal na milein woh mozay pehnein .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5853
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن عمرو بن دينار، عن جابر بن زيد، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من لم يكن له إزار فليلبس السراويل، ومن لم يكن له نعلان فليلبس خفين".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , in se Amr bin Dinar ne , in se Jabir bin Zayd ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ke paas ihram baandhne ke liye tehband na ho woh pajama pehan le (is ka kaatna zaroori nahi hai) aur jis ke paas jootay na hon woh mozay hi pehan le lekin takhnon ke neeche tak un ko kaat daale (jaisa ke pichhli hadees mein hai) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة