الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب النعال السبتية وغيرها:
Saaf chamde ki jooti pehnna.
Show diacritics
Hadith Number: 5850
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن سعيد ابي مسلمة، قال: سالت انسا،" اكان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي في نعليه؟ قال: نعم".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya , kaha hum se Hammad ne bayan kiya , in se Saeed bin Abi Muslimah ne , unhon ne kaha main ne Anas razi Allahu anhu se poochha kya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jootay pehne huay namaz parhte thay ? To unhon ne kaha ke haan .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 386
حدثنا آدم بن ابي إياس، قال: حدثنا شعبة، قال: اخبرنا ابو مسلمة سعيد بن يزيد الازدي، قال: سالت انس بن مالك،" اكان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي في نعليه؟ قال: نعم".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Maslamah Saeed bin Yazid Azdi ne bayan kiya, kaha main ne Anas bin Malik Razi Allah Anhu se poocha ke kya Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam apni jootiyan pehen kar namaz padhte thay? To unhon ne farmaya ke haan! .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3060
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن حذيفة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اكتبوا لي من تلفظ بالإسلام من الناس فكتبنا له الفا وخمس مائة رجل فقلنا نخاف ونحن الف وخمس مائة، فلقد رايتنا ابتلينا حتى إن الرجل ليصلي وحده وهو خائف"، حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش فوجدناهم خمس مائة، قال ابو معاوية: ما بين ست مائة إلى سبع مائة".
Hum se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Aamash ne, un se Abu Wail ne aur un se Huzaifa (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jo log Islam ka kalma parh chuke hain un ke naam likh kar mere paas lao." Chunanche hum ne dedh hazar mardon ke naam likh kar Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein pesh kiye aur hum ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se arz kiya hamari tadaad dedh hazar ho gayi hai. Ab hum ko kya darr hai. Lekin tum dekh rahe ho ke (Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke baad) hum fitnon mein is tarah gher gaye ke ab Musalman tanha namaz parhte hue bhi darne laga hai. Hum se Abdan ne bayan kiya, un se Abu Hamza ne aur un se Aamash ne (mazkoora bala sanad ke sath) ke hum ne paanch so Musalmanon ki tadaad likhi (hazar ka zikr is riwayat mein nahi hua) aur Abu Muawiyah ne (apni riwayat mein) yun bayan kiya, ke che so se saat so tak
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة