ุตุญูุญ ุงูุจุฎุงุฑู
Sahih Bukhari
ูุชุงุจ ุงูุทุจ
Kitab: Dawa aur ilaj ke bayan mein
ุจุงุจ ุงูุฏูุงุก ุจุงูุนุฌูุฉ ููุณุญุฑ:
Ajwa khajoor jaadu ke liye dua hai.
Hadith Number: 5769
ุญุฏุซูุง ุฅุณุญุงู ุจู ู
ูุตูุฑุ ุงุฎุจุฑูุง ุงุจู ุงุณุงู
ุฉุ ุญุฏุซูุง ูุงุดู
ุจู ูุงุดู
ุ ูุงู: ุณู
ุนุช ุนุงู
ุฑ ุจู ุณุนุฏุ ุณู
ุนุช ุณุนุฏุง ุฑุถู ุงููู ุนูู ูููู: ุณู
ุนุช ุฑุณูู ุงููู ุตูู ุงููู ุนููู ูุณูู
ุ ูููู:" ู
ู ุชุตุจุญ ุณุจุน ุชู
ุฑุงุช ุนุฌูุฉ ูู
ูุถุฑู ุฐูู ุงูููู
ุณู
ููุง ุณุญุฑ".
Hum se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya, unhon ne kaha hamain ko Abu Usamah Hammad bin Usamah ne khabar di, unhon ne kaha hum se Hashim bin Hashim ne bayan kiya ke main ne Aamir bin Saad se suna, unhon ne Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis shakhs ne subah ke waqt saat Ajwa khajoorein kha lein is din usay na zehar nuqsan pahuncha sakta hai aur na jadoo.
ุญูู
: ุฃุญุงุฏูุซ ุตุญูุญ ุงูุจุฎุงุฑูู ููููุง ุตุญูุญุฉ
Hadith Number: 4545
ุญุฏุซูุง ู
ุญู
ุฏ , ุญุฏุซูุง ุงููููููุ ุญุฏุซูุง ู
ุณููู , ุนู ุดุนุจุฉ , ุนู ุฎุงูุฏ ุงูุญุฐุงุก , ุนู ู
ุฑูุงู ุงูุงุตูุฑ , ุนู ุฑุฌู ู
ู ุงุตุญุงุจ ุงููุจู ุตูู ุงููู ุนููู ูุณูู
ููู ุงุจู ุนู
ุฑ ," ุงููุง ูุฏ ูุณุฎุช ูุฅู ุชุจุฏูุง ู
ุง ูู ุงููุณูู
ุงู ุชุฎููู ุณูุฑุฉ ุงูุจูุฑุฉ ุขูุฉ 284 ุงูุขูุฉ".
Hum se Muhammad bin Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Muhammad Nufayli ne byaan kiya , kaha hum se Miskeen bin Bukayr Harran ne byaan kiya , un se Shubah ne , un se Khalid Hazza ne , un se Marwan Asfar ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ek sahabi yani Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke aayat ยซwa in tubdu ma fee anfusikum au tukhfoohuยป โaur jo kuch tumhare nafson ke andar hai agar tum un ko zahir karo ya chhupaye rakkho .โ Aakhir tak mansookh ho gi thi .
ุญูู
: ุฃุญุงุฏูุซ ุตุญูุญ ุงูุจุฎุงุฑูู ููููุง ุตุญูุญุฉ
Hadith Number: 5445
ุญุฏุซูุง ุฌู
ุนุฉ ุจู ุนุจุฏ ุงูููุ ุญุฏุซูุง ู
ุฑูุงูุ ุงุฎุจุฑูุง ูุงุดู
ุจู ูุงุดู
ุ ุงุฎุจุฑูุง ุนุงู
ุฑ ุจู ุณุนุฏุ ุนู ุงุจููุ ูุงู: ูุงู ุฑุณูู ุงููู ุตูู ุงููู ุนููู ูุณูู
:" ู
ู ุชุตุจุญ ูู ููู
ุณุจุน ุชู
ุฑุงุช ุนุฌูุฉ ูู
ูุถุฑู ูู ุฐูู ุงูููู
ุณู
ููุง ุณุญุฑ".
Hum se Jumu'ah bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Marwan ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Hashim bin Hashim ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Aamir bin Saad ne khabar di aur in se un ke walid Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne har din subah ke waqt saat Ajwa khajoorein kha lein , usay is din na zehar nuqsan pahuncha sake ga aur na jadoo .
ุญูู
: ุฃุญุงุฏูุซ ุตุญูุญ ุงูุจุฎุงุฑูู ููููุง ุตุญูุญุฉ
Hadith Number: 5768
ุญุฏุซูุง ุนููุ ุญุฏุซูุง ู
ุฑูุงูุ ุงุฎุจุฑูุง ูุงุดู
ุ ุงุฎุจุฑูุง ุนุงู
ุฑ ุจู ุณุนุฏุ ุนู ุงุจูู ุฑุถู ุงููู ุนููุ ูุงู: ูุงู ุงููุจู ุตูู ุงููู ุนููู ูุณูู
:" ู
ู ุงุตุทุจุญ ูู ููู
ุชู
ุฑุงุช ุนุฌูุฉ ูู
ูุถุฑู ุณู
ููุง ุณุญุฑ ุฐูู ุงูููู
ุฅูู ุงูููู" ููุงู ุบูุฑู: ุณุจุน ุชู
ุฑุงุช.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Marwan bin Muawiyah Fazari ne bayan kiya, kaha hamain ko Hashim bin Hashim bin Uqbah ne khabar di, kaha hamain ko Aamir bin Saad ne khabar di aur in se un ke walid (Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu) ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs rozana chand Ajwa khajoorein kha liya kare usay is din raat tak zehar aur jadoo nuqsan nahi pahuncha sakein ge. Ali bin Abdullah Madini ke siwa doosre rawi ne bayan kiya ke saat khajoorein kha liya kare.
ุญูู
: ุฃุญุงุฏูุซ ุตุญูุญ ุงูุจุฎุงุฑูู ููููุง ุตุญูุญุฉ
Hadith Number: 5779
ุญุฏุซูุง ู
ุญู
ุฏ ุจู ุณูุงู
ุ ุญุฏุซูุง ุงุญู
ุฏ ุจู ุจุดูุฑ ุงุจู ุจูุฑุ ุงุฎุจุฑูุง ูุงุดู
ุจู ูุงุดู
ุ ูุงู: ุงุฎุจุฑูู ุนุงู
ุฑ ุจู ุณุนุฏุ ูุงู: ุณู
ุนุช ุงุจู ูููู: ุณู
ุนุช ุฑุณูู ุงููู ุตูู ุงููู ุนููู ูุณูู
ุ ูููู:" ู
ู ุงุตุทุจุญ ุจุณุจุน ุชู
ุฑุงุช ุนุฌูุฉ ูู
ูุถุฑู ุฐูู ุงูููู
ุณู
ููุง ุณุญุฑ".
Hum se Muhammad bin Salam Baikandi ne bayan kiya, unhon ne kaha hamain ko Ahmad bin Basheer Abu Bakr ne khabar di, unhon ne kaha hamain ko Hashim bin Hashim ne khabar di, kaha ke mujhe Aamir bin Saad ne khabar di, unhon ne kaha ke main ne apne walid se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya โjo shakhs subah ke waqt saat Ajwa khajoorein kha le usay is din zehar nuqsan pahuncha sake ga aur na jadoo.โ
ุญูู
: ุฃุญุงุฏูุซ ุตุญูุญ ุงูุจุฎุงุฑูู ููููุง ุตุญูุญุฉ