الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطب
Kitab: Dawa aur ilaj ke bayan mein
باب الحجم من الشقيقة والصداع:
Aadhe sar ke dard ya poore sar ke dard mein pichhna lagwana jaiz hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5700
حدثني محمد بن بشار، حدثنا ابن ابي عدي، عن هشام، عن عكرمة، عن ابن عباس، احتجم النبي صلى الله عليه وسلم في راسه وهو محرم من وجع كان به بماء يقال له لحي جمل.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Adi ne bayan kiya, in se Hisham bin Hassan ne, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne halat e ihram mein apne sar mein pachhna lagwaya (yeh pachhna Aap ne sar ke) dard ki wajah se lagwaya tha jo Lahyi Jamal naami pani ke ghaat par Aap ko ho gaya tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1835
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: قال عمرو: اول شيء سمعت عطاء، يقول: سمعت ابن عباس رضي الله عنه، يقول:" احتجم رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو محرم"، ثم سمعته يقول: حدثني طاوس، عن ابن عباس، فقلت: لعله سمعه منهما.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya ke Amr Bin Dinar ne bayan kiya pehli baat mein ne jo Ata Bin Abi Rabah se suni thi, unhon ne bayan kiya ke mein ne Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna, wo keh rahe thay ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab muhrim thay is waqt aap ne pachna lagwaya tha. Phir mein ne unhein ye kehte suna ke mujh se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se Taous ne ye hadees bayan ki thi. Is se mein ne ye samjha ke shayad unhon ne in donon hazraat se ye hadees suni ho gi (mutakallim Amr hain aur donon hazraat se murad Ata aur Taous Rahmahullah Alaihima hain)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة