الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب جَزَاءِ الصَّيْدِ
The Book of Penalty For Hunting
بَابُ الْحِجَامَةِ لِلْمُحْرِمِ:
Chapter. Cupping (i.e., letting out of the blood medically) for a Muhrim.
Show diacritics
Hadith Number: Q1835
وكوى ابن عمر ابنه وهو محرم ويتداوى ما لم يكن فيه طيب.
Aur muhrim hone ke bawajood Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne apne larke ke daagh lagaya tha aur aisi dawa jis mein khushboo na ho usay muhrim istemal kar sakta hai
.


Show diacritics
Hadith Number: 1835
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: قال عمرو: اول شيء سمعت عطاء، يقول: سمعت ابن عباس رضي الله عنه، يقول:" احتجم رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو محرم"، ثم سمعته يقول: حدثني طاوس، عن ابن عباس، فقلت: لعله سمعه منهما.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya ke Amr Bin Dinar ne bayan kiya pehli baat mein ne jo Ata Bin Abi Rabah se suni thi, unhon ne bayan kiya ke mein ne Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna, wo keh rahe thay ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab muhrim thay is waqt aap ne pachna lagwaya tha. Phir mein ne unhein ye kehte suna ke mujh se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se Taous ne ye hadees bayan ki thi. Is se mein ne ye samjha ke shayad unhon ne in donon hazraat se ye hadees suni ho gi (mutakallim Amr hain aur donon hazraat se murad Ata aur Taous Rahmahullah Alaihima hain)
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1836
حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا سليمان بن بلال، عن علقمة بن ابي علقمة، عن عبد الرحمن الاعرج، عن ابن بحينة رضي الله عنه، قال:" احتجم النبي صلى الله عليه وسلم وهو محرم بلحي جمل في وسط راسه".
Hum se Khalid Bin Makhlad ne bayan kiya, kaha ke un se Sulaiman Bin Bilal ne bayan kiya, un se Alqama Bin Abi Alqama ne, un se Abdur Rahman Aaraj ne aur un se Ibn Buhainah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jab ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) muhrim thay apne sar ke beech mein maqam-e-Lahi Jamal mein pachna lagwaya tha
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain