الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب جَزَاءِ الصَّيْدِ
The Book of Penalty For Hunting
بَابُ لاَ يَحِلُّ الْقِتَالُ بِمَكَّةَ:
Chapter. Fighting is prohibited in Makkah.
Hadith Number: Q1834
وقال ابو شريح رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم: لا يسفك بها دما.
Aur Abu Shuraih (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se bayan kiya ke wahan khoon na bahaya jaye
.
.
Hadith Number: 1834
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن مجاهد، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم يوم افتتح مكة:" لا هجرة، ولكن جهاد ونية، وإذا استنفرتم فانفروا، فإن هذا بلد حرم الله يوم خلق السموات والارض، وهو حرام بحرمة الله إلى يوم القيامة، وإنه لم يحل القتال فيه لاحد قبلي، ولم يحل لي إلا ساعة من نهار، فهو حرام بحرمة الله إلى يوم القيامة، لا يعضد شوكه، ولا ينفر صيده، ولا يلتقط لقطته إلا من عرفها ولا يختلى خلاها"، قال العباس: يا رسول الله، إلا الإذخر فإنه لقينهم ولبيوتهم، قال: قال: إلا الإذخر.
Hum se Usman Bin Abi Shaiba ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne bayan kiya, un se Mansoor ne, un se Mujahid ne, un se Taous ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Fatah-e-Makkah ke din farmaya ab hijrat farz nahi rahi lekin (acchi) niyat aur jihad ab bhi baqi hai is liye jab tumhein jihad ke liye bulaya jaye to tayyar ho jana. Is shehar (Makkah) ko Allah Ta'ala ne isi din hurmat ata ki thi jis din us ne aasman aur zameen paida kiye, is liye ye Allah ki muqarrar ki hui hurmat ki wajah se muhtaram hai yahan kisi के liye bhi mujh se pehle larayi jaiz nahi thi aur mujhe bhi sirf ek din ghari bhar ke liye (Fatah-e-Makkah ke din ijazat mili thi) ab hamesha ye shehar Allah ki qayam ki hui hurmat ki wajah se qayamat tak ke liye hurmat wala hai pas is ka kanta kaata jaye na is ke shikar hanke jayein aur is shakhs ke siwa jo ailan karne ka irada rakhta ho koi yahan ki giri hui cheez na uthaye aur na yahan ki ghaas ukhari jaye. Abbas (Radi Allahu Anhu) ne kaha ya Rasul Allah! idhkhir (ek ghaas) ki ijazat to dijiye kyunke yahan ye kaari garon aur gharon ke liye zaroori hai to aap ne farmaya ke idhkhir ki ijazat hai
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة