الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب جَزَاءِ الصَّيْدِ
The Book of Penalty For Hunting
بَابُ لاَ يُنَفَّرُ صَيْدُ الْحَرَمِ:
Chapter. The game in the Haram (Sanctuary) should not be chased or disturbed.
Hadith Number: 1833
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن الله حرم مكة، فلم تحل لاحد قبلي ولا تحل لاحد بعدي، وإنما احلت لي ساعة من نهار لا يختلى خلاها، ولا يعضد شجرها، ولا ينفر صيدها، ولا تلتقط لقطتها، إلا لمعرف"، وقال العباس: يا رسول الله، إلا الإذخر لصاغتنا وقبورنا، فقال: إلا الإذخر، وعن خالد، عن عكرمة، قال: هل تدري ما لا ينفر صيدها؟ هو ان ينحيه من الظل ينزل مكانه.
Hum se Muhammad Bin Muthanna ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahhab ne bayan kiya, kaha hum se Khalid ne bayan kiya, un se Ikrima ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Allah Ta'ala ne Makkah ko hurmat wala banaya hai mujh se pehle bhi ye kisi ke liye halal nahi tha is liye mere baad bhi wo kisi ke liye halal nahi ho ga. Mere liye sirf ek din ghari bhar halal hua tha is liye is ki ghaas na ukhari jaye aur is ke darakht na kaate jayein, is ke shikar na bharkaye jayein aur na wahan ki giri hui cheez uthayi jaye. Han ailan karne wala utha sakta hai. (Taake asal malik tak pohancha de) Abbas (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke ya Rasul Allah! idhkhir ki ijazat dijiye kyunke ye hamare sunaron aur hamari qabron ke liye kaam aati hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke idhkhir ki ijazat hai. Khalid ne riwayat kiya ke Ikrima (Rahimahullah) ne farmaya ke tum jante ho ke shikar ko na bharkane se kya murad hai ? Is ka matlab ye hai ke (agar kahin koi janwar saye mein betha hua hai to) usay saye se bhaga kar khud wahan qayam na kare
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة