الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطب
Kitab: Dawa aur ilaj ke bayan mein
باب الحجامة من الداء:
Bimaari ki wajah se pichhna lagwana jaiz hai.
Hadith Number: 5697
حدثنا سعيد بن تليد، قال: حدثني ابن وهب، قال: اخبرني عمرو وغيره، ان بكيرا، حدثه، ان عاصم بن عمر بن قتادة، حدثه ان جابر بن عبد الله رضي الله عنهما عاد المقنع، ثم قال:" لا ابرح حتى تحتجم، فإني سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول، إن فيه شفاء".
Hum se Saeed bin Tulid ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Ibn Wahb ne bayan kiya ke mujhe Amr waghaira ne khabar di, in se Bukayr ne bayan kiya, in se Aasim bin Umar bin Qatadah ne bayan kiya ke Jabir bin Abdullah Muqanna bin Sinan tabi ki iyadat ke liye tashreef laaye phir in se kaha ke jab tak tum pachhna na lagwa lo ge main yahan se nahi jaoon ga, main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is mein shifa hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5683
حدثنا ابو نعيم، حدثنا عبد الرحمن بن الغسيل، عن عاصم بن عمر بن قتادة، قال: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" إن كان في شيء من ادويتكم او يكون في شيء من ادويتكم خير: ففي شرطة محجم، او شربة عسل، او لذعة بنار، توافق الداء وما احب ان اكتوي".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdur Rahman bin Ghaseel ne bayan kiya, in se Aasim bin Umayr bin Qatadah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke main ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tumhari dawaon mein kisi mein bhalayi hai ya yeh kaha ke tumhari (in) dawaon mein bhalayi hai. To pachhna lagwane ya shehad peene aur aag se daaghne mein hai agar woh marz ke mutabiq ho aur main aag se daaghne ko pasand nahi karta hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة