الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأضاحي
Kitab: Qurbani ke masail ka bayan
باب ما يؤكل من لحوم الأضاحي وما يتزود منها:
Qurbani ka kitna gosht khaya jaaye aur kitna jama kar ke rakha jaaye.
Show diacritics
Hadith Number: 5571
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، قال: اخبرني يونس، عن الزهري، قال: حدثني ابو عبيد مولى ابن ازهر، انه شهد العيد يوم الاضحى مع عمر بن الخطاب رضي الله عنه فصلى قبل الخطبة، ثم خطب الناس، فقال:" يا ايها الناس، إن رسول الله صلى الله عليه وسلم قد نهاكم عن صيام هذين العيدين، اما احدهما فيوم فطركم من صيامكم، واما الآخر فيوم تاكلون من نسككم".
Hum se Habban bin Musa ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah ne khabar di , unhon ne kaha ke mujhe Yunus ne khabar di , in se Zuhri ne , unhon ne kaha ke mujhe Ibn Az-har ke ghulam Abu Ubaid ne bayan kiya ke woh Baqar Eid ke din Umar bin Khattab razi Allahu anhu ke saath Eid-gaah mein maujood thay . Umar razi Allahu anhu ne khutba se pehle Eid ki namaz parhayi phir logon ke samne khutba diya aur khutba mein farmaya Ae logo! Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne tumhein in do Eidon mein roza rakhne se mana farmaya hai ek woh din hai jis din tum (Ramzan ke) roze poore kar ke iftaar karte ho (Eid-ul-Fitr) aur doosra tumhari qurbani ka din hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1990
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن ابي عبيد مولى ابن ازهر، قال:" شهدت العيد مع عمر بن الخطابرضي الله عنه، فقال: هذان يومان نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن صيامهما: يوم فطركم من صيامكم، واليوم الآخر تاكلون فيه من نسككم"، قال ابو عبد الله: قال ابن عيينة: من قال مولى ابن ازهر فقد اصاب، ومن قال مولى عبد الرحمن بن عوف، فقد اصاب.
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Imam Malik (Rahimahullah) ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhon ne kaha ke hum se Ibn Azhar ke ghulam Abu Ubaid ne bayan kiya ke Eid ke din mein Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) ke khidmat mein hazir tha. Aap ne farmaya ye do din aise hain jin ke rozon ki Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne maman'at farmayi hai. (Ramzan ke) rozon ke baad iftar ka din (Eid-ul-Fitr) aur doosra wo din jis mein tum apni qurbani ka gosht khate ho (yaani Eid-ul-Adha ka din). Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha Sufyan Bin Uyainah ne kaha, jis ne Abu Ubaid ko Ibn Azhar ka ghulam kaha is ne bhi theek kaha, aur jis ne Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhu) ka ghulam kaha is ne bhi theek kaha. (Is ki wajah ye hai ke Ibn Azhar aur Abdur Rahman Bin Auf Radi Allahu Anhu donon is ghulam mein shareek thay)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة