الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأضاحي
Kitab: Qurbani ke masail ka bayan
باب فى أضحية النبى صلى الله عليه وسلم بكبشين أقرنين ويذكر سمينين:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne seeng wale do mendhon ki qurbani ki.
Hadith Number: 5554
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا ايوب، عن ابي قلابة، عن انس" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم انكفا إلى كبشين اقرنين املحين، فذبحهما بيده"،، تابعه وهيب، عن ايوب وقال إسماعيل، وحاتم بن وردان، عن ايوب، عن ابن سيرين، عن انس.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahhab ne bayan kiya, in se Ayub ne, in se Abu Qulabah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam seing wale do chitkabre meindhon ki taraf mutawajjo huay aur unhein apne hath se zibah kiya. Is ki mutabia-t Wuhaib ne ki, in se Ayub ne aur Ismail aur Hakam bin Wardan ne bayan kiya ke in se Ayub ne, in se Muhammad bin Sireen ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5553
حدثنا آدم بن ابي إياس حدثنا شعبة، حدثنا عبد العزيز بن صهيب، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يضحي بكبشين، وانا اضحي بكبشين".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Abdul Aziz bin Suhayb ne bayan kiya, unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna ke unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam do meindhon ki qurbani karte thay aur main bhi do meindhon ki qurbani karta tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5558
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شعبة، حدثنا قتادة، عن انس، قال:" ضحى النبي صلى الله عليه وسلم، بكبشين املحين، فرايته واضعا قدمه على صفاحهما، يسمي ويكبر، فذبحهما بيده".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , kaha hum se Qatadah ne bayan kiya , in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne do chitkabre meindhon ki qurbani ki . Main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne paon janwar ke oopar rakkhe huay hain aur Bismillah Wallahu Akbar parh rahe hain . Is tarah Aap ne donon meindhon ko apne hath se zibah kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5564
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا همام، عن قتادة، حدثنا انس رضي الله عنه ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يضحي بكبشين املحين اقرنين ويضع رجله على صفحتهما ويذبحهما بيده.
Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya , kaha hum se Humam ne bayan kiya , in se Qatadah ne , unhon ne kaha ke hum se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam seing wale do chitkabre meindhon ki qurbani kiya karte thay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam اپنا paon in ki gardanon ke oopar rakhte aur unhein apne hath se zibah karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5565
حدثنا قتيبة، حدثنا ابو عوانة، عن قتادة، عن انس، قال:" ضحى النبي صلى الله عليه وسلم بكبشين املحين اقرنين ذبحهما بيده وسمى، وكبر، ووضع رجله على صفاحهما".
Hum se Qutaybah ne bayan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya , in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne seing wale do chitkabre meindhon ki qurbani ki . Unhein apne hath se zibah kiya . Bismillah aur Allahu Akbar parha aur apna paon in ki gardan ke oopar rakh kar zibah kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7399
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا هشام، عن قتادة، عن انس، قال:" ضحى النبي صلى الله عليه وسلم بكبشين يسمي ويكبر".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Hisham ne bayan kiya, in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne do maindhon ki qurbani ki aur zibah karte waqt Bis-mil-laahi Allaahu akbar parha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة