الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الذبائح والصيد
Kitab: Zabeeh aur shikar ke bayan mein
باب الصيد إذا غاب عنه يومين أو ثلاثة:
Jab shikaar kiya hua janwar shikari ko do ya teen din ke baad mile to woh kya kare?
Show diacritics
Hadith Number: 5484
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ثابت بن يزيد، حدثنا عاصم، عن الشعبي، عن عدي بن حاتم رضي الله، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا ارسلت كلبك وسميت فامسك وقتل فكل، وإن اكل فلا تاكل فإنما امسك على نفسه، وإذا خالط كلابا لم يذكر اسم الله عليها فامسكن وقتلن، فلا تاكل فإنك لا تدري ايها قتل، وإن رميت الصيد فوجدته بعد يوم او يومين ليس به إلا اثر سهمك فكل، وإن وقع في الماء فلا تاكل".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Sabit bin Yazid ne bayan kiya, kaha hum se Aasim bin Sulayman ne bayan kiya, in se Shabi ne, in se Adi bin Hatim razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum ne apna kutta shikar par chhorra aur Bismillah bhi parhi aur kutte ne shikar pakra aur usay maar dala to usay khao aur agar us ne khud bhi kha liya to tum na khao kyunke yeh shikar is ne apne liye pakra hai aur agar doosre kutte jin par Allah ka naam na liya gaya ho, is kutte ke saath shikar mein shareek ho jayein aur shikar pakar kar maar daalein to aisa shikar na khao kyunke tumhein maloom nahi ke kis kutte ne maara hai aur agar tum ne shikar par teer maara phir woh shikar tumhein do ya teen din baad mila aur is par tumhare teer ke nishan ke siwa aur koi doosra nishan nahi hai to aisa shikar khao lekin agar woh pani mein gir gaya ho to na khao.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 175
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا شعبة، عن ابن ابي السفر، عن الشعبي، عن عدي بن حاتم، قال: سالت النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" إذا ارسلت كلبك المعلم فقتل فكل، وإذا اكل فلا تاكل فإنما امسكه على نفسه، قلت: ارسل كلبي فاجد معه كلبا آخر، قال: فلا تاكل، فإنما سميت على كلبك ولم تسم على كلب آخر".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya, kaha ke hum se Sho’bah ne Ibn-e-Abi-s-Safar ke waaste se bayan kiya, woh Sha’bi se naql farmaate hain, woh ’Adi bin Hatim se riwayat karte hain ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se (kutte ke shikaar ke mutalliq) daryaaft kiya. To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jab tu apne sudhaaye huwe kutte ko chhode aur woh shikaar kar le to, to us (shikaar) ko khaa aur agar woh kutta us shikaar mein se khud (kuch) khaa le to, tu (us ko) na khaaiyo. Kiunki ab us ne shikaar apne liye pakda hai. Main ne kaha ke ba’z dafa main (shikaar ke liye) apne kutte chhodta hun, phir us ke saath doosre kutte ko bhi paaya hun. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya. Phir mat khaa. Kiunki tum ne «Bismillah» apne kutte par padhi thi. Doosre kutte par nahi padhi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة