الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الذبائح والصيد
Kitab: Zabeeh aur shikar ke bayan mein
باب صيد القوس:
Teerkaaman se shikaar karne ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 5478
حدثنا عبد الله بن يزيد، حدثنا حيوة، قال: اخبرني ربيعة بن يزيد الدمشقي، عن ابي إدريس، عن ابي ثعلبة الخشني، قال:" قلت: يا نبي الله إنا بارض قوم من اهل الكتاب افناكل في آنيتهم؟ وبارض صيد اصيد بقوسي وبكلبي الذي ليس بمعلم، وبكلبي المعلم فما يصلح لي؟ قال: اما ما ذكرت من اهل الكتاب فإن وجدتم غيرها فلا تاكلوا فيها، وإن لم تجدوا فاغسلوها، وكلوا فيها وما صدت بقوسك فذكرت اسم الله فكل، وما صدت بكلبك المعلم فذكرت اسم الله فكل، وما صدت بكلبك غير معلم فادركت ذكاته فكل".
Hum se Abdullah bin Yazid Muqbiri ne bayan kiya, kaha hum se Haywah bin Shurayh ne bayan kiya, kaha ke mujhe Rabia bin Yazid Dimashqi ne khabar di, unhein Abu Idrees Aiz-ullah Khaulani ne, unhein Abu Thalaba Khushni razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne arz kiya: Ae Allah ke Nabi! Hum Ahl e Kitab ke gaon mein rehte hain to kiya hum in ke bartan mein kha sakte hain? Aur hum aaisi zameen mein rehte hain jahan shikar bahut hota hai. Main teer-kaman se bhi shikar karta hoon aur apne is kutte se bhi jo sikhaya hua nahi hai aur is kutte se bhi jo sikhaya hua hai to is mein se kis ka khana mere liye jaiz hai. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum ne jo Ahl e Kitab ke bartan ka zikr kiya hai to agar tumhein is ke siwa koi aur bartan mil sake to is mein na khao lekin tumhein koi doosra bartan na mile to in ke bartan ko khoob dho kar is mein kha sakte ho aur jo shikar tum apni teer-kaman se karo aur (teer phenkte waqt) Allah ka naam liya ho to (is ka shikar) kha sakte ho aur jo shikar tum ne ghair-sudhaye huay kutte se kiya ho aur shikar khud zibah kiya ho to usay kha sakte ho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5488
حدثنا ابو عاصم، عن حيوة بن شريح. ح وحدثني احمد ابن ابي رجاء، حدثنا سلمة بن سليمان، عن ابن المبارك، عن حيوة بن شريح، قال: سمعت ربيعة بن يزيد الدمشقي، قال: اخبرني ابو إدريس عائذ الله، قال: سمعت ابا ثعلبة الخشني رضي الله عنه، يقول: اتيت رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله إنا بارض قوم اهل الكتاب ناكل في آنيتهم، وارض صيد اصيد بقوسي، واصيد بكلبي المعلم والذي ليس معلما، فاخبرني ما الذي يحل لنا من ذلك، فقال:" اما ما ذكرت انك بارض قوم اهل الكتاب تاكل في آنيتهم فإن وجدتم غير آنيتهم فلا تاكلوا فيها وإن لم تجدوا فاغسلوها ثم كلوا فيها، واما ما ذكرت انك بارض صيد فما صدت بقوسك فاذكر اسم الله ثم كل، وما صدت بكلبك المعلم فاذكر اسم الله ثم كل، وما صدت بكلبك الذي ليس معلما فادركت ذكاته فكل".
Hum se Abu Aasim Nabeel ne bayan kiya, in se Haywah bin Shurayh ne (doosri sanad) aur Imam Bukhari rahmahullah ne kaha, mujh se Ahmad bin Abi Rajaa ne bayan kiya, in se Salamah bin Sulayman ne bayan kiya, in se Abdullah bin al-Mubarak ne bayan kiya, in se Haywah bin Shurayh ne bayan kiya ke main ne Rabia bin Yazid Dimashqi se suna, kaha ke mujhe Abu Idrees Aiz-ullah ne khabar di, kaha ke main Abu Thalaba Khushni razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya: ya Rasool اللہ! Hum Ahl e Kitab ke mulk mein rehte hain aur in ke bartan mein khate hain aur hum shikar ki zameen mein rehte hain, jahan main apne teer se shikar karta hoon aur apne sudhaye huay kutte se. To is mein se kiya cheez hamare liye jaiz hai? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum ne jo yeh kaha hai ke tum Ahl e Kitab ke mulk mein rehte ho aur in ke bartan mein bhi khate ho to agar tumhein in ke bartanon ke siwa doosre bartan mil jayein to in ke bartanon mein na khao lekin in ke bartanon ke siwa doosre bartan na milein to unhein dho kar phir in mein khao aur tum ne shikar ki sar-zameen ka zikr kiya hai to jo shikar tum apne teer se maaro aur teer chalate waqt Allah ka naam liya ho to usay khao aur jo shikar tum ne apne sudhaye huay kutte se kiya ho aur is par Allah ka naam liya ho to usay khao aur jo shikar tum ne apne bila-sudhaye kutte se kiya ho aur usay zibah bhi khud hi kiya ho to usay bhi khao.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5495
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابي يعفور، قال: سمعت ابن ابي اوفى رضي الله عنهما، قال:" غزونا مع النبي صلى الله عليه وسلم سبع غزوات او ستا كنا ناكل معه الجراد"، قال سفيان، وابو عوانة، وإسرائيل: عن ابي يعفور، عن ابن ابي اوفى، سبع غزوات.
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shubah bin Hajjaj ne bayan kiya, in se Abu Yafoor ne bayan kiya ke main ne Abdullah bin Abi Aufa razi Allahu anhuma se suna ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath saat ya chhay ghazwon mein shareek huay, hum Aap ke saath taddi khate thay. Sufyan, Abu Awanah aur Israeel ne Abu Yafoor se bayan kiya aur in se Ibn Abi Aufa ne, saat ghazwa ke lafz riwayat kiye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5496
حدثنا ابو عاصم، عن حيوة بن شريح، قال: حدثني ربيعة بن يزيد الدمشقي، قال: حدثني ابو إدريس الخولاني، قال: حدثني ابو ثعلبة الخشني، قال: اتيت النبي صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله إنا بارض اهل الكتاب فناكل في آنيتهم، وبارض صيد اصيد بقوسي، واصيد بكلبي المعلم وبكلبي الذي ليس بمعلم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اما ما ذكرت انك بارض اهل كتاب فلا تاكلوا في آنيتهم إلا ان لا تجدوا بدا فإن لم تجدوا بدا فاغسلوها وكلوا، واما ما ذكرت انكم بارض صيد فما صدت بقوسك فاذكر اسم الله وكل، وما صدت بكلبك المعلم فاذكر اسم الله وكل وما صدت بكلبك الذي ليس بمعلم فادركت ذكاته فكله".
Hum se Abu Aasim Nabeel ne bayan kiya, in se Haywah bin Shurayh ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Rabia bin Yazid Dimashqi ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Abu Idrees Khaulani ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Abu Thalaba Khushni razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur kaha: ya Rasool Allah! Hum Ahl e Kitab ke mulk mein rehte hain aur in ke bartanon mein khate hain aur hum shikar ki zameen mein rehte hain aur main apne teer kaman se bhi shikar karta hoon aur sudhaye huay kutte se aur be-sudhaye kutte se bhi? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum ne jo yeh kaha hai ke tum Ahl e Kitab ke mulk mein rehte ho to in ke bartanon mein na khaya karo. Albatta agar zaroorat ho aur khana hi par jaye to unhein khoob dho liya karo aur jo tum ne yeh kaha hai ke tum shikar ki zameen mein rehte ho to jo shikar tum apne teer kaman se karo aur is par Allah ka naam liya ho to usay khao aur jo shikar tum ne apne sikhaye huay kutte se kiya ho aur is par Allah ka naam liya ho woh bhi khao aur jo shikar tum ne apne bila sikhaye huay kutte se kiya ho aur usay khud zibah kiya ho usay khao.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة