الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الذَّبَائِحِ وَالصَّيْدِ
The Book of Slaughtering and Hunting
بَابُ آنِيَةِ الْمَجُوسِ وَالْمَيْتَةِ:
Chapter. The utensils of Magians and (the eating of) dead flesh.
Show diacritics
Hadith Number: 5496
حدثنا ابو عاصم، عن حيوة بن شريح، قال: حدثني ربيعة بن يزيد الدمشقي، قال: حدثني ابو إدريس الخولاني، قال: حدثني ابو ثعلبة الخشني، قال: اتيت النبي صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله إنا بارض اهل الكتاب فناكل في آنيتهم، وبارض صيد اصيد بقوسي، واصيد بكلبي المعلم وبكلبي الذي ليس بمعلم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اما ما ذكرت انك بارض اهل كتاب فلا تاكلوا في آنيتهم إلا ان لا تجدوا بدا فإن لم تجدوا بدا فاغسلوها وكلوا، واما ما ذكرت انكم بارض صيد فما صدت بقوسك فاذكر اسم الله وكل، وما صدت بكلبك المعلم فاذكر اسم الله وكل وما صدت بكلبك الذي ليس بمعلم فادركت ذكاته فكله".
Hum se Abu Aasim Nabeel ne bayan kiya, in se Haywah bin Shurayh ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Rabia bin Yazid Dimashqi ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Abu Idrees Khaulani ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Abu Thalaba Khushni razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur kaha: ya Rasool Allah! Hum Ahl e Kitab ke mulk mein rehte hain aur in ke bartanon mein khate hain aur hum shikar ki zameen mein rehte hain aur main apne teer kaman se bhi shikar karta hoon aur sudhaye huay kutte se aur be-sudhaye kutte se bhi? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum ne jo yeh kaha hai ke tum Ahl e Kitab ke mulk mein rehte ho to in ke bartanon mein na khaya karo. Albatta agar zaroorat ho aur khana hi par jaye to unhein khoob dho liya karo aur jo tum ne yeh kaha hai ke tum shikar ki zameen mein rehte ho to jo shikar tum apne teer kaman se karo aur is par Allah ka naam liya ho to usay khao aur jo shikar tum ne apne sikhaye huay kutte se kiya ho aur is par Allah ka naam liya ho woh bhi khao aur jo shikar tum ne apne bila sikhaye huay kutte se kiya ho aur usay khud zibah kiya ho usay khao.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5497
حدثنا المكي بن إبراهيم، قال: حدثني يزيد بن ابي عبيد، عن سلمة بن الاكوع، قال: لما امسوا يوم فتحوا خيبر اوقدوا النيران، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" علام اوقدتم هذه النيران؟" قالوا: لحوم الحمر الإنسية، قال:" اهريقوا ما فيها واكسروا قدورها"، فقام رجل من القوم، فقال: نهريق ما فيها ونغسلها؟ فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" او ذاك".
Hum se Makki bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Yazid bin Abi Ubaidah ne bayan kiya, in se Salamah bin al-Akwa razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Fatah Khaibar ki shaam ko logon ne aag roshan ki to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke yeh aag tum logon ne kis liye roshan ki hai? Logon ne bataya ke gadhe ka gosht hai. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke handiyon mein kuch (gadhe ka gosht) hai usay phenk do aur handiyon ko torr daalo. Ek shakhs ne kharay ho kar kaha handiya mein jo kuch (gosht waghaira) hai usay hum phenk dein aur bartan dho lein? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh bhi kar sakte ho.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain