الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأطعمة
Kitab: Khanon ke bayan mein
باب إذا حضر العشاء فلا يعجل عن عشائه:
Shaam ka khana haazir ho to namaz ke liye jaldi na kare.
Hadith Number: 5464
وعن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر، انه تعشى مرة وهو يسمع قراءة الإمام.
Aur Ayub se riwayat hai , in se Nafi ne ke Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ek martaba raat ka khana khaya aur is waqt Aap imam ki qirat sun rahe thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 671
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، عن هشام، قال: حدثني ابي، قال: سمعت عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، انه قال:" إذا وضع العشاء واقيمت الصلاة، فابدءوا بالعشاء".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne Hisham bin Urwah se byaan kiya , kaha ke mujh se mere baap ne byaan kiya , unhon ne Aishah razi Allahu anha se suna , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar shaam ka khana saamne rakha jaye aur idhar namaaz ke liye takbeer bhi hone lage to pehle khana kha lo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 672
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن انس بن مالك، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:"إذا قدم العشاء فابدءوا به قبل ان تصلوا صلاة المغرب، ولا تعجلوا عن عشائكم".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , unhon ne Aqeel se , unhon ne Ibn Shihab se byaan kiya , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab shaam ka khana haazir kiya jaye to Maghrib ki namaaz se pehle khana kha lo aur khane mein be mazah bhi na hona chahiye aur apna khana chhor kar namaaz mein jaldi mat karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 673
حدثنا عبيد بن إسماعيل، عن ابي اسامة، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:"إذا وضع عشاء احدكم واقيمت الصلاة فابدءوا بالعشاء، ولا يعجل حتى يفرغ منه، وكان ابن عمر يوضع له الطعام وتقام الصلاة فلا ياتيها حتى يفرغ، وإنه ليسمع قراءة الإمام".
Hum se Ubayd bin Ismail ne byaan kiya Abu Usama Hammad bin Usama se , unhon ne Ubaydullah se , unhon ne Nafi se , unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mein se kisi ka shaam ka khana tayyar ho chuka ho aur takbeer bhi kahi ja chuki ho to pehle khana kha lo aur namaaz ke liye jaldi na karo , khane se faraghat kar lo . Aur Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ke liye khana rakh diya jata , idhar iqamat bhi ho jati lekin Aap khane se farigh hone tak namaaz mein shareek nahi hote thay . Aap imam ki qiraat barabar sunte rehte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 674
وقال زهير، ووهب بن عثمان: عن موسى بن عقبة، عن نافع، عن ابن عمر قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا كان احدكم على الطعام فلا يعجل حتى يقضي حاجته منه وإن اقيمت الصلاة"، رواه إبراهيم بن المنذر، عن وهب بن عثمان، ووهب مديني.
Zuhayr aur Wahb bin Usman ne Musa bin Uqba se byaan kiya , unhon ne Nafi se , unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum mein se koi khana kha raha ho to jaldi na kare , balkay poori tarah kha le go (agarche) namaaz khari kyun na ho gayi ho . Abu Abdullah (Imam Bukhari rahimahullah) ne kaha aur mujh se Ibrahim bin al-Munzir ne Wahb bin Usman se yeh hadees byaan ki aur Wahb Madani hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5465
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا اقيمت الصلاة وحضر العشاء فابدءوا بالعشاء". قال وهيب، ويحيى بن سعيد: عن هشام: إذا وضع العشاء.
Hum se Muhammad bin Yusuf ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan ne bayan kiya , in se Hisham bin Urwah ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab namaz khari ho chuke aur raat ka khana bhi samne ho to khana khao . Wuhaib aur Yahya bin Saeed ne bayan kiya , in se Hisham ne ke jab raat ka khana rakkha ja chuke .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة