الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَطْعِمَةِ
The Book of Foods (Meals)
بَابُ إِذَا حَضَرَ الْعَشَاءُ فَلاَ يَعْجَلْ عَنْ عَشَائِهِ:
Chapter. If super or dinner is served then one should not hurry to finish it [when the time for Salat (prayer) is due].
Hadith Number: 5462
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني جعفر بن عمرو بن امية، ان اباه عمرو بن امية اخبره، انه" راى رسول الله صلى الله عليه وسلم يحتز من كتف شاة في يده فدعي إلى الصلاة فالقاها والسكين التي كان يحتز بها ثم قام فصلى ولم يتوضا".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , unhein Zuhri ne aur Layth ne bayan kiya , kaha unhon ne ke mujh se Yunus ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne bayan kiya , unhein Jafar bin Amr bin Umayyah razi Allahu anhu ne khabar di , unhein un ke walid Amr bin Umayyah ne khabar di ke unhon ne dekha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apne hath se bakri ke shaane ka gosht kaat kaat kar kha rahe thay , phir Aap ko namaz ke liye bulaya gaya to Aap gosht aur chhurri jis se Aap kaat rahe thay , chhor kar khare ho gaye aur namaz parhayi aur is namaz ke liye naya wuzu nahi kiya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5463
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا وهيب، عن ايوب، عن ابي قلابة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا وضع العشاء واقيمت الصلاة فابدءوا بالعشاء". وعن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم نحوه.
Hum se Mualla bin Asad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya , in se Ayub ne , in se Abu Qulabah ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab raat ka khana samne rakh diya gaya ho aur namaz bhi khari ho gayi ho to pehle khana khao . Aur Ayub se riwayat hai , in se Nafi ne , in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne isi ke mutabiq .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5464
وعن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر، انه تعشى مرة وهو يسمع قراءة الإمام.
Aur Ayub se riwayat hai , in se Nafi ne ke Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ek martaba raat ka khana khaya aur is waqt Aap imam ki qirat sun rahe thay .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5465
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا اقيمت الصلاة وحضر العشاء فابدءوا بالعشاء". قال وهيب، ويحيى بن سعيد: عن هشام: إذا وضع العشاء.
Hum se Muhammad bin Yusuf ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan ne bayan kiya , in se Hisham bin Urwah ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab namaz khari ho chuke aur raat ka khana bhi samne ho to khana khao . Wuhaib aur Yahya bin Saeed ne bayan kiya , in se Hisham ne ke jab raat ka khana rakkha ja chuke .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة