الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطلاق
Kitab: Talaq ke masail ka bayan
باب الطلاق فى الإغلاق:
Bab: Zabardasti aur jabran talaq dene ka hukm.
Hadith Number: 5269
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا هشام، حدثنا قتادة، عن زرارة بن اوفى، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن الله تجاوز عن امتي ما حدثت به انفسها ما لم تعمل او تتكلم". قال قتادة: إذا طلق في نفسه، فليس بشيء.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , kaha hum se Qatadah ne byaan kiya , in se Zurarah bin Aufa ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne meri ummat ko khayalaat e fasida ki had tak maaf kiya hai , jab tak ke is par amal na kare ya usay zaban se ada na kare . Qatadah rahmahullah ne kaha ke agar kisi ne apne dilli mein talaq de di to is ka itibar nahi ho ga jab tak zaban se na kahe .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2528
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا مسعر، عن قتادة، عن زرارة بن اوفى، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن الله تجاوز لي عن امتي ما وسوست به صدورها ما لم تعمل او تكلم".
Hum se Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, kaha hum se Mis'ar ne bayan kiya, un se Qatada ne, un se Zurara Bin Awfa ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah Ta'ala ne meri ummat ke dilon mein paida hone wale waswason ko maaf kar diya hai jab tak wo unhein amal ya zaban par na layein."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6664
حدثنا خلاد بن يحيى، حدثنا مسعر، حدثنا قتادة، حدثنا زرارة بن اوفى، عن ابي هريرة يرفعه قال:" إن الله تجاوز لامتي عما وسوست، او حدثت به انفسها، ما لم تعمل به، او تكلم".
Hum se Khallad bin Yahya ne bayan kiya , kaha hum se Mis-ar bin Kidam ne bayan kiya , kaha hum se Qatadah ne bayan kiya , kaha hum se Zhuraara bin Aufa ne bayan kiya , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Allah Ta'ala ne meri ummat ki in ghalatiyon ko maaf kiya hai jin ka sirf دل mein waswasa guzre ya دل mein is ke karne ki khwahish paida ho , magar is ke mutabiq amal na ho aur na baat ki ho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة