الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب لا يخلون رجل بامرأة إلا ذو محرم، والدخول على المغيبة:
Bab: Muharram ke siwa koi ghair mard kisi ghair aurat ke sath tanhai na ikhtiyar kare aur aisi aurat ke paas na jaye jis ka shauhar maujood na ho safar waghera mein gaya ho.
Hadith Number: 5233
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو، عن ابي معبد، عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يخلون رجل بامراة إلا مع ذي محرم"، فقام رجل، فقال:" يا رسول الله، امراتي خرجت حاجة واكتتبت في غزوة كذا وكذا، قال: ارجع فحج مع امراتك".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya, ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, un se Amr bin Dinar ne byaan kiya, un se Abu Mabad ne aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mahram ke siwa koi mard kisi aurat ke saath tanhayi mein na baithe. Is par ek sahabi ne arz kiya: ya Rasool Allah! Meri biwi Hajj karne gayi hai aur mera naam falan ghazwa mein likha gaya hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir tu wapas ja aur apni biwi ke saath Hajj kar.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1862
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن عمرو، عن ابي معبد مولى ابن عباس، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تسافر المراة إلا مع ذي محرم، ولا يدخل عليها رجل إلا ومعها محرم"، فقال رجل: يا رسول الله، إني اريد ان اخرج في جيش كذا وكذا، وامراتي تريد الحج، فقال: اخرج معها.
Hum se Abu-al-Numan ne bayan kiya, kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne bayan kiya, un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ke ghulam Abu Ma'bad ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke koi aurat apne mahram rishtedar ke baghair safar na kare aur koi shakhs kisi aurat ke paas is waqt tak na jaye jab tak wahan zi-mahram maujood na ho. Ek shakhs ne poocha ke ya Rasul Allah! mein falan lashkar mein jihad ke liye nikalna chahta hoon, lekin meri biwi ka irada Hajj ka hai ? To Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tu apni biwi ke sath Hajj ko ja
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3006
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن ابي معبد، عن ابن عباس رضي الله عنهما، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا يخلون رجل بامراة، ولا تسافرن امراة إلا ومعها محرم، فقام: رجل، فقال: يا رسول الله اكتتبت في غزوة كذا وكذا، وخرجت امراتي حاجة، قال: اذهب فحج مع امراتك".
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya ‘ kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya ‘ in se Amr Bin Dinar ne ‘ in se Abu Ma'bad ne aur in se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna ‘ Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke koi mard kisi (ghair mehram) aurat ke sath tanhayi mein na baithe aur koi aurat us waqt tak safar na kare jab tak us ke sath koi is ka mehram na ho. Itne mein ek sahabi khare hue aur arz kiya ‘ ya Rasul Allah! Mein ne falan jihad mein apna naam likhwa diya hai aur idhar meri biwi hajj ke liye ja rahi hain. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke phir tu bhi ja aur apni biwi ke sath hajj kar
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة