الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب جَزَاءِ الصَّيْدِ
The Book of Penalty For Hunting
بَابُ حَجِّ النِّسَاءِ:
Chapter. Hajj of women.
Show diacritics
Hadith Number: 1860
وقال لي احمد بن محمد هو الازرقي، حدثنا إبراهيم، عن ابيه، عن جده:" اذن عمر رضي الله عنه لازواج النبي صلى الله عليه وسلم في آخر حجة حجها، فبعث معهن عثمان بن عفان، وعبد الرحمن بن عوف".
Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha ke mujh se Ahmad Bin Muhammad ne kaha ke un se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se un ke walid ne, un se un ke dada (Ibrahim Bin Abdur Rahman Bin Auf Radi Allahu Anhu) ne ke Umar (Radi Allahu Anhu) ne apne aakhri Hajj ke mauqe par Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki biwiyon ko Hajj ki ijazat di thi aur un ke sath Usman Bin Affan aur Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhuma) ko bheja tha
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1861
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الواحد، حدثنا حبيب بن ابي عمرة، قال: حدثتنا عائشة بنت طلحة، عن عائشة ام المؤمنين رضي الله عنها، قالت: قلت:" يا رسول الله، الا نغزو ونجاهد معكم؟ فقال: لكن احسن الجهاد واجمله الحج حج مبرور"، فقالت عائشة: فلا ادع الحج بعد إذ سمعت هذا من رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahid ne bayan kiya, un se Habib Bin Umrah ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Aisha Bint Talha ne bayan kiya aur un se Umm-ul-Momineen Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke mein ne poocha ya Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! hum bhi kyun na Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath jihad aur ghazwon mein jaya karein ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tum logon ke liye sab se umda aur sab se munasib jihad Hajj hai, wo Hajj jo maqbool ho. Aisha (Radi Allahu Anha) kehti theen ke jab se mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka ye irshad sun liya hai Hajj ko mein kabhi chorne wali nahi hoon
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1862
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن عمرو، عن ابي معبد مولى ابن عباس، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تسافر المراة إلا مع ذي محرم، ولا يدخل عليها رجل إلا ومعها محرم"، فقال رجل: يا رسول الله، إني اريد ان اخرج في جيش كذا وكذا، وامراتي تريد الحج، فقال: اخرج معها.
Hum se Abu-al-Numan ne bayan kiya, kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne bayan kiya, un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ke ghulam Abu Ma'bad ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke koi aurat apne mahram rishtedar ke baghair safar na kare aur koi shakhs kisi aurat ke paas is waqt tak na jaye jab tak wahan zi-mahram maujood na ho. Ek shakhs ne poocha ke ya Rasul Allah! mein falan lashkar mein jihad ke liye nikalna chahta hoon, lekin meri biwi ka irada Hajj ka hai ? To Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tu apni biwi ke sath Hajj ko ja
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1863
حدثنا عبدان، اخبرنا يزيد بن زريع، اخبرنا حبيب المعلم، عن عطاء، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" لما رجع النبي صلى الله عليه وسلم من حجته، قال لام سنان الانصارية: ما منعك من الحج؟ قالت: ابو فلان تعني زوجها، كان له ناضحان حج على احدهما، والآخر يسقي ارضا لنا، قال: إن عمرة في رمضان تقضي حجة، او حجة معي"، رواه ابن جريج، عن عطاء، سمعت ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وقال عبيد الله: عن عبد الكريم، عن عطاء، عن جابر، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Yazid Bin Zuraie ne khabar di, kaha hum ko Habib Muallim ne khabar di, unhein Ata Bin Abi Rabah ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya ke jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Hajjat-ul-Wida se wapas hue to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Umm-e-Sinan Ansariya aurat (Radi Allahu Anha) se daryaft farmaya ke tu Hajj karne nahi gayi ? Unhon ne arz ki ke falan ke baap yani mere khawand ke paas do ont pani pilane ke thay ek par to khud Hajj ko chale gaye aur doosra hamari zameen seerab karta hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is par farmaya ke Ramzan mein Umrah karna mere sath Hajj karne ke barabar hai, is riwayat ko Ibn Juraij ne Ata se suna, kaha unhon ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna, unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se, aur Ubaidullah ne Abdul Karim se riwayat kiya, un se Ata ne un se Jabir (Radi Allahu Anhu) ne aur un se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1864
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عبد الملك بن عمير، عن قزعة مولى زياد، قال: سمعت ابا سعيد، وقد غزا مع النبي صلى الله عليه وسلم ثنتي عشرة غزوة، قال: اربع سمعتهن من رسول الله صلى الله عليه وسلم، او قال: يحدثهن عن النبي صلى الله عليه وسلم فاعجبنني وآنقنني،" ان لا تسافر امراة مسيرة يومين ليس معها زوجها، او ذو محرم، ولا صوم يومين الفطر والاضحى، ولا صلاة بعد صلاتين بعد العصر حتى تغرب الشمس، وبعد الصبح حتى تطلع الشمس، ولا تشد الرحال إلا إلى ثلاثة مساجد: مسجد الحرام، ومسجدي، ومسجد الاقصى".
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne, un se Abdul Malik Bin Umar ne, un se Ziyad ke ghulam Qaz'ah ne, unhon ne bayan kiya ke mein ne Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) se suna jinhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath barah jihad kiye thay. Wo kehte thay ke mein ne char baatein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suni theen ya ye ke wo ye char baatein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se naqal karte aur kehte thay ke ye baatein mujhe intehai pasand hain ye ke koi aurat do din ka safar is waqt tak na kare jab tak is ke sath is ka shohar ya koi zhu-reham mahram na ho, na Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha ke roze rakhe jayein na Asr ki namaz ke baad ghuroob hone ke pehle aur na subah ki namaz ke baad sooraj nikalne se pehle koi namaz parhi jaye aur na teen masajid ke siwa kisi ke liye kajawe bandhe jayein Masjid-ul-Haram, meri Masjid aur Masjid-ul-Aqsa
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain