الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب ما يكره من ضرب النساء:
Bab: Auraton ko maarna makrooh hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5204
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عبد الله بن زمعة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يجلد احدكم امراته جلد العبد ثم يجامعها في آخر اليوم".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , in se Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid ne aur un se Abdullah bin Zama'h razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum mein koi shakhs apni biwi ko ghulamon ki tarah na maare ke phir doosre din is se hum-bistar ho ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3277
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: حدثني ابن ابي انس مولى التيميين، ان اباه حدثه انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا دخل رمضان فتحت ابواب الجنة وغلقت ابواب جهنم وسلسلت الشياطين".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Taymiyyeen ke maula Ibn Abi Anas ne bayan kiya, un se un ke walid ne bayan kiya ke Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ko ye kehte suna tha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab Ramzan ka mahina aata hai to Jannat ke darwaze khol diye jate hain. Jahannum ke darwaze band kar diye jate hain aur shayatin ko zanjeeron mein kas diya jata hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6042
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عبد الله بن زمعة، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان يضحك الرجل مما يخرج من الانفس وقال: بم يضرب احدكم امراته ضرب الفحل او العبد ثم لعله يعانقها"، وقال الثوري، ووهيب، وابو معاوية، عن هشام، جلد العبد.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Abdullah bin Zamah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kisi ki reeh kharij hone par hans-ne se mana farmaya aur Aap ne yeh bhi farmaya ke tum mein se kis tarah ek shakhs apni biwi ko zor se maarta hai jaise oont, haalan ke is ki poori umeed hai ke shaam mein usay woh gale lagaye ga. Aur Sawri, Wuhaib aur Abu Muawiyah ne Hisham se bayan kiya ke (janwar ki tarah) ke bajaye lafz ghulam ki tarah ka istemal kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة