الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب الوصاة بالنساء:
Bab: Auraton se achha sulook karne ke bare mein wasiyyat-e-Nabawi ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 5186
واستوصوا بالنساء خيرا فإنهن خلقن من ضلع، وإن اعوج شيء في الضلع اعلاه، فإن ذهبت تقيمه كسرته، وإن تركته لم يزل اعوج، فاستوصوا بالنساء خيرا".
Auraton ke baare mein bhalayi ki wasiyat karta hoon kyunke woh pasli se paida ki gayi hain aur pasli mein bhi sab se zyada teerha is ke oopar ka hissa hai. Agar tum usay seedha karna chaho ge to usay torr daalo ge aur agar usay chhor do ge to woh teerhi hi baqi reh jaye gi is liye main tumhein auraton ke baare mein achhe sulook ki wasiyat karta hoon.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3331
حدثنا ابو كريب وموسى بن حزام، قالا: حدثنا حسين بن علي، عن زائدة، عن ميسرة الاشجعي، عن ابي حازم، عن ابي هريرةرضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" استوصوا بالنساء فإن المراة خلقت من ضلع وإن اعوج شيء في الضلع اعلاه، فإن ذهبت تقيمه كسرته، وإن تركته لم يزل اعوج فاستوصوا بالنساء".
Hum se Abu Kuraib aur Musa Bin Huzam ne bayan kiya, kaha ke hum se Husain Bin Ali ne bayan kiya, un se Za'ida ne, un se Maisara Ashja'i ne, un se Abu Hazim ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Auraton ke bare mein meri wasiyat ka hamesha khayal rakhna, kyunke aurat pasli se paida ki gayi hai. Pasli mein bhi sab se zyada tedha upar ka hissa hota hai. Agar koi shakhs ise bilkul seedhi karne ki koshish kare to anjam-e-kar tod ke rahega aur agar ise wo yunhi chhod dega to phir hamesha tedhi hi reh jaye gi. Pas auraton ke bare mein meri nasihat mano, auraton se accha sulook karo."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة