الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النِّكَاحِ
The Book of (The Wedlock)
بَابُ الْوَصَاةِ بِالنِّسَاءِ:
Chapter. The exhortation of taking care of the women.
Hadith Number: 5185
حدثنا إسحاق بن نصر، حدثنا حسين الجعفي، عن زائدة، عن ميسرة، عن ابي حازم، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فلا يؤذي جاره.
Hum se Ishaq bin Nasr ne byaan kiya, kaha hum se Husain Jaf-ee ne byaan kiya, un se Za'ida ne, un se Maysarah ne un se Abu al-Hazim ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs Allah aur Qayamat ke din par iman rakhta ho woh apne parosi ko takleef na pahunchaye aur main tumhein. (baqiya agli hadees dekhein).
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5186
واستوصوا بالنساء خيرا فإنهن خلقن من ضلع، وإن اعوج شيء في الضلع اعلاه، فإن ذهبت تقيمه كسرته، وإن تركته لم يزل اعوج، فاستوصوا بالنساء خيرا".
Auraton ke baare mein bhalayi ki wasiyat karta hoon kyunke woh pasli se paida ki gayi hain aur pasli mein bhi sab se zyada teerha is ke oopar ka hissa hai. Agar tum usay seedha karna chaho ge to usay torr daalo ge aur agar usay chhor do ge to woh teerhi hi baqi reh jaye gi is liye main tumhein auraton ke baare mein achhe sulook ki wasiyat karta hoon.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5187
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن عبد الله بن دينار، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" كنا نتقي الكلام والانبساط إلى نسائنا على عهد النبي صلى الله عليه وسلم هيبة ان ينزل فينا شيء، فلما توفي النبي صلى الله عليه وسلم تكلمنا وانبسطنا".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya, un se Abdullah bin Dinar ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke waqt mein hum apni biwiyon ke saath guftagu aur bahut zyada be-takallufi se is darr ki wajah se parhez karte thay ke kahin koi be-iatidali ho jaye aur hamari burayi mein koi hukm nazil na ho jaye. Phir jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ho gayi to hum ne in se khoob khul ke guftagu ki aur khoob be-takallufi karne lage.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة