الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب لا يخطب على خطبة أخيه، حتى ينكح أو يدع:
Bab: Kisi musalman bhai ne ek aurat ko paigham bheja ho to doosra shakhs us ko paigham na bheje jab tak woh us se nikah na kare ya paigham na chhor de yani mangni tor de.
Show diacritics
Hadith Number: 5144
ولا يخطب الرجل على خطبة اخيه حتى ينكح او يترك".
Aur koi shakhs apne bhai ke paigham par paigham na bheje yahan tak ke woh nikah kare ya chhor de .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2140
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يبيع حاضر لباد، ولا تناجشوا، ولا يبيع الرجل على بيع اخيه، ولا يخطب على خطبة اخيه، ولا تسال المراة طلاق اختها لتكفا ما في إنائها".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Zuhri ne bayan kiya, un se Saeed Bin Musayyab ne bayan kiya, aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is se mana farmaya ke koi shehri kisi dehati ka mal-o-asbab beche aur ye ke koi (saman khareedne ki niyat ke baghair doosre asal khareedaron se) barh kar boli na de. Isi tarah koi shakhs apne bhai ke saude mein madakhalat na kare. Koi shakhs (kisi aurat ko) doosre ke paigham-e-nikah hote hue apna paigham na bheje. Aur koi aurat apni kisi deeni behen ko is niyat se talaq na dilwaye ke is ke hissa ko khud hasil kar le
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6064
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إياكم والظن فإن الظن اكذب الحديث، ولا تحسسوا ولا تجسسوا ولا تحاسدوا ولا تدابروا ولا تباغضوا وكونوا عباد الله إخوانا".
Hum se Bishr bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Mamar ne khabar di, unhein Humam bin Munabbih ne khabar di aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”bad-gumani se bachte raho kyunke bad-gumani ki baatein aksar jhooti hoti hain, logon ke ayoob talash karne ke peeche na paro, aapas mein hasad na karo, kisi ki peeth peeche burayi na karo, bughz na rakkho, balkay sab Allah ke bande aapas mein bhai bhai ban kar raho.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6066
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إياكم والظن فإن الظن اكذب الحديث، ولا تحسسوا ولا تجسسوا ولا تناجشوا ولا تحاسدوا ولا تباغضوا ولا تدابروا وكونوا عباد الله إخوانا".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik rahmahullah ne khabar di, Abu al-Zinad se woh Aaraj se aur woh Abu Hurairah razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”bad-gumani se bachte raho, bad-gumani aksar tahqeeq ke baad jhooti baat sabit hoti hai aur kisi ke ayoob dhoondne ke peeche na paro, kisi ka aib khwah-makhwah mat tatolo aur kisi ke bhao par bhao na barhao aur hasad na karo, bughz na rakkho, kisi ki peeth peeche burayi na karo balkay sab Allah ke bande aapas mein bhai bhai ban kar raho.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6724
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إياكم والظن، فإن الظن اكذب الحديث، ولا تحسسوا، ولا تجسسوا، ولا تباغضوا، ولا تدابروا، وكونوا عباد الله إخوانا".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya , kaha hum se Abdullah bin Taoos ne bayan kiya , in se in ke walid ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”bad-gumani se bachte raho , kyunke guman (bad-zhani) sab se jhooti baat hai . Aapas mein ek doosre ki burayi ki talash mein na lage raho na ek doosre se bughz rakkho aur na peeth peeche kisi ki burayi karo , balkay Allah ke bande bhai bhai ban kar raho .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة