الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب من لم يتغن بالقرآن:
Bab: Is shakhs ke bare mein jo Quran Majeed ko khush-aawazi se na parhe.
Show diacritics
Hadith Number: 5024
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن الزهري، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما اذن الله لشيء، ما اذن للنبي ان يتغنى بالقرآن". قال سفيان: تفسيره يستغني به.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, in se Zuhri ne, un se Abu Salamah bin Abdur Rahman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne koi cheez tawajjo se nahi suni jitni tawajjo se apne Nabi (salla Allahu alaihi wasallam) ko behtareen aawaz ke saath Quran Majeed parhte suna hai. Sufyan bin Uyaynah ne kaha «yataghanna bil-qur-aani» se murad hai ke Quran par qana'at kare.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5023
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثني الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، انه كان يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لم ياذن الله لشيء، ما اذن للنبي صلى الله عليه وسلم يتغنى بالقرآن". وقال صاحب له: يريد يجهر به.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya, kaha ke mujh se Layth bin Saad ne, un se Aqeel ne, un se Shihab ne byaan kiya, kaha ke mujhko Abu Salamah bin Abdur Rahman ne khabar di aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ne koi cheez itni tawajjo se nahi suni jitni tawajjo se us ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka Quran behtareen aawaz ke saath parhte huay suna hai. Abu Salamah bin Abdur Rahman ka ek dost Abdul Hameed bin Abdur Rahman kehta tha ke is hadees mein «yataghanna bil-qur-aani» se yeh murad hai ke achhi aawaz se usay pukaar kar parhe.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7482
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة، انه كان يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ما اذن الله لشيء ما اذن للنبي صلى الله عليه وسلم يتغنى بالقرآن"، وقال صاحب له يريد ان يجهر به.
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne , in se Aqeel ne , in se Ibn Shihab ne aur in ko Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman ne khabar di aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhune bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala kisi baat ko itna mutawaj-jo ho kar nahi sunta jitna Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka Quran parhna mutawaj-jo ho kar sunta hai jo khush-aawazi se is ko parhta hai . Abu Hurairyah razi Allahu anhuke ek saathi ne kaha is hadees mein «yataghan-naa bil-quraani» ka yeh maani hai ke is ko pukar kar parhta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7544
حدثني إبراهيم بن حمزة، حدثني ابن ابي حازم، عن يزيد، عن محمد بن إبراهيم، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" ما اذن الله لشيء، ما اذن لنبي حسن الصوت بالقرآن يجهر به".
Hum se Ibrahim bin Hamza ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibn Abi Hazim ne bayan kiya , in se Yazid ne bayan kiya in se Muhammad bin Ibrahim ne , in se Abu Salamah ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhune ke unhon ne Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala kisi cheez ko itni tawaj-jo se nahi sunta jitni tawaj-jo se achhi aawaz se parhne par Nabi ke Quran Majeed ko sunta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة