الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب فضل البقرة:
Bab: Surah Al-Baqarah ki fazilat ke bayan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5008
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا شعبة، عن سليمان، عن إبراهيم، عن عبد الرحمن، عن ابي مسعود، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من قرا بالآيتين"،
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya, kaha hum ko Shubah ne khabar di, unhein Sulayman bin Mehran ne, unhein Ibrahim Nakhai ne, unhein Abdur Rahman bin Yazid ne, unhein Abu Masood Ansari razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (Surah al-Baqarah mein se) jis ne bhi do aakhri aayatein parhien. (doosri sanad agli hadees dekhein).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4008
حدثنا موسى، حدثنا ابو عوانة، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن عبد الرحمن بن يزيد، عن علقمة، عن ابي مسعود البدري رضي الله عنه , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الآيتان من آخر سورة البقرة من قراهما في ليلة كفتاه" , قال عبد الرحمن فلقيت ابا مسعود وهو يطوف بالبيت فسالته فحدثنيه.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, hum se Abu Awana ne bayan kiya, un se Amash, un se Ibrahim Nakhi, un se Abdur Rahman Bin Yezid Nakhi, un se Alqamah Bin Yas'i aur un se Abu Masood Badri Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke Surah-al-Baqarah ki do aayatein ( «Aamanar-rasoolu» se aakhir tak) aaisi hain ke jo shakhs raat mein unhein parh le wo is ke liye kafi ho jati hain. Abdur Rahman ne bayan kiya ke phir mein ne khud Abu Masood Radi Allahu Anhu se mulaqat ki, wo is waqt Baitullah ka tawaf kar rahe thay. Mein ne un se is hadees ke mutaliq poocha to unhon ne ye hadees mujh se bayan ki
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة