الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب كاتب النبى صلى الله عليه وسلم:
Bab: Nabi Kareem ﷺ ke katib ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4989
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، ان ابن السباق، قال: إن زيد بن ثابت، قال: ارسل إلي ابو بكر رضي الله عنه، قال:" إنك كنت تكتب الوحي لرسول الله صلى الله عليه وسلم فاتبع القرآن، فتتبعت حتى وجدت آخر سورة التوبة آيتين مع ابي خزيمة الانصاري لم اجدهما مع احد غيره: لقد جاءكم رسول من انفسكم عزيز عليه ما عنتم سورة التوبة آية 128" إلى آخره.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Yunus ne , un se Ibn Shihab ne , un se Ubaid Ibn Sabbaq ne byaan kiya aur un se Zayd bin Sabit razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne apne zamana e khilafat mein mujhe bulaya aur kaha ke tum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke samne Quran likhte thay . Is liye ab bhi Quran (jama karne ke liye) tum hi talash karo . Main ne talash ki aur Surah at-Tauba ki aakhri do aayatein mujhe Khuzaymah Ansari ke paas likhi hui milien , in ke siwa aur kahin yeh do aayatein nahi mil rahi thien . Woh aayatein yeh thien «laqad ja'akum rasoolum min anfusikum azeezun alayhi ma anittum» aakhir tak .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2807
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، حدثني إسماعيل، قال: حدثني اخي، عن سليمان اراه، عن محمد بن ابي عتيق، عن ابن شهاب، عن خارجة بن زيد، ان زيد بن ثابت رضي الله عنه، قال نسخت الصحف في المصاحف، ففقدت آية من سورة الاحزاب كنت اسمع رسول الله صلى الله عليه وسلم" يقرا بها فلم اجدها إلا مع خزيمة بن ثابت الانصاري الذي جعل رسول الله صلى الله عليه وسلم شهادته شهادة رجلين" وهو قوله" من المؤمنين رجال صدقوا ما عاهدوا الله عليه" سورة الاحزاب آية 23.
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di Zuhri se, doosri sanad aur mujh se Ismail ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere bhai ne bayan kiya, un se Sulaiman ne, mera khayal hai ke Muhammad Bin Ateeq ke wasta se, un se Ibn Shihab (Zuhri) ne aur un se Kharija Bin Zaid ne ke Zaid Bin Sabit (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab Quran Majeed ko ek mushaf (kitabi) ki surat mein jama kiya jaane laga to mein ne Surah Al-Ahzab ki ek aayat nahi payi jis ki Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se barabar Aap ki tilawat karte hue sunta raha tha (jab mein ne use talash kiya to) sirf Khuzaimah Bin Sabit Ansari (Radi Allahu Anhu) ke yahan wo aayat mujhe mili. Ye Khuzaimah (Radi Allahu Anhu) wahi hain jin ki akele ki gawahi ko Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne do aadmiyon ki gawahi ke barabar qarar diya tha. Wo aayat ye thi «mn almwmny n rjal sdqw ma eahdw allh elyh» (Surah Al-Ahzab: 23) "Mominon mein se kuch mard aise hain jinhon ne wo baat sach kahi jis par unhon ne Allah se ahd kiya."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة