الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {إذا جاءكم المؤمنات مهاجرات} :
Bab: Ayat ki tafseer“Jab tumhare paas imaan wali auraten hijrat kar ke aayen”.
Hadith Number: 4891
حدثنا إسحاق، حدثنا يعقوب بن إبراهيم بن سعد، حدثنا ابن اخي ابن شهاب، عن عمه، اخبرني عروة، ان عائشة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم اخبرته، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يمتحن من هاجر إليه من المؤمنات بهذه الآية بقول الله: يايها النبي إذا جاءك المؤمنات يبايعنك إلى قوله غفور رحيم سورة الممتحنة آية 12، قال عروة، قالت عائشة: فمن اقر بهذا الشرط من المؤمنات، قال لها رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قد بايعتك"، كلاما ولا والله ما مست يده يد امراة قط في المبايعة ما يبايعهن إلا بقوله قد بايعتك على ذلك". تابعه يونس، ومعمر، وعبد الرحمن بن إسحاق، عن الزهري، وقال إسحاق بن راشد: عن الزهري، عن عروة، وعمرة.
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya, kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya, kaha hum se Ibn Shihab ke bhatije ne apne chacha Muhammad bin Muslim se, unhein Urwah ne khabar di aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam is aayat ke nazil hone ke baad in momin auraton ka imtihan liya karte thay jo Hijrat kar ke Madinah aati thien. Allah Ta'ala ne irshad farmaya tha «ya ayyuhan-nabiyyu izha jaa-akal mu'minatu yubayianaka» ke ”Ae Nabi! Jab Aap se Musalman auratein bai'at karne ke liye aayein“ irshad «ghafoorur raheemun» tak. Urwah ne byaan kiya ke Aisha razi Allahu anha ne kaha chunanche jo aurat is shart (aayat mein mazkoor yani iman waghaira) ka iqrar kar leti Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is se zabani taur par farmate ke main ne tumhari bai'at qabool kar li aur hargiz nahi, Allah ki qasam! Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hath ne kisi aurat ka hath bai'at lete waqt kabhi nahi chhooa sirf Aap un se zabani bai'at lete thay ke aayat mein mazkoora baaton par qaim rehna. Is riwayat ki mutabia't Yunus, Mamar aur Abdur Rahman bin Ishaq ne Zuhri se ki aur Ishaq bin Rashid ne Zuhri se byaan kiya ke un se Urwah aur Umrah bint Abdur Rahman ne kaha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3713
اخبرني عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا خالد، حدثنا شعبة، عن واقد، قال: سمعت ابي يحدث، عن ابن عمر، عن ابي بكر رضي الله عنهم، قال:" ارقبوا محمدا صلى الله عليه وسلم في اهل بيته".
Mujhe Abdullah bin Abdul Wahhab ne khabar di, kaha ke hum se Khalid ne bayan kiya, kaha hum se Shu'bah ne bayan kiya, in se Waqid ne bayan kiya ke mein ne apne walid se suna, woh Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se bayan karte thay, woh Abu Bakr Radi Allahu Anhu se ke unhon ne kaha: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka khayal Aap ke ahl-e-bait mein rakho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4182
قال ابن شهاب: واخبرني عروة بن الزبير , ان عائشة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم , قالت:" إن رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يمتحن من هاجر من المؤمنات بهذه الآية: يايها النبي إذا جاءك المؤمنات يبايعنك سورة الممتحنة آية 12", وعن عمه , قال: بلغنا حين امر الله رسوله صلى الله عليه وسلم ان يرد إلى المشركين ما انفقوا على من هاجر من ازواجهم , وبلغنا ان ابا بصير فذكره بطوله.
Ibn Shihab ne bayan kiya ke mujhe Urwah Bin Zubair Radi Allahu Anhu ne khabar di aur in se Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki zauja mutahhara Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke ayat «ya ayyuhan nabiyyu iza ja'akal muminatu» ke nazil hone ke baad Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam hijrat kar ke aane wali aurton ko pehle azmate thay aur in ke chacha se riwayat hai ke humein wo hadees bhi maloom hai jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne hukm diya tha ke jo musalman aurten hijrat kar ke chali aati hain in ke shoharom ko wo sab kuch wapas kar diya jaye jo apni in biwiyon ko wo de chuke hain aur humein ye bhi maloom hua hai ke Abu Baseer ‘ phir unhon ne tafseel ke sath hadees bayan ki
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة