الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {وانشق القمر وإن يروا آية يعرضوا} :
Bab: Ayat «wan-shaqqal qamaru wa in yaraw aayatan yu’ridu» ki tafseer.
Hadith Number: 4867
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا يونس بن محمد، حدثنا شيبان، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال:" سال اهل مكة ان يريهم آية، فاراهم انشقاق القمر".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya, kaha hum se Yunus bin Muhammad ne byaan kiya, kaha hum se Shayban ne byaan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Makkah walon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se mujiza dikhane ko kaha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein chaand ke phat jaane ka mujiza dikhaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3637
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا يونس، حدثنا شيبان، عن قتادة، عن انس بن مالك، ح وقال لي خليفة، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا سعيد، عن قتادة، عن انس بن مالك رضي الله عنه انه حدثهم:" ان اهل مكة سالوا رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يريهم آية فاراهم انشقاق القمر".
Mujh se Abdullah bin Muhammad Musnadi ne bayan kiya, kaha hum se Yunus bin Yazid ne bayan kiya, kaha hum se Shaiban ne bayan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne (doosri sanad) Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha aur mujh se Khalifah bin Khayyat ne bayan kiya, kaha hum se Yazid bin Zurai ne bayan kiya, un se Sa'id ne bayan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Makkah walon ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se kaha tha ke unhein koi moajiza dikhayein to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Shaq-ul-Qamar ka moajiza yani chand ka phat jana un ko dikhaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة