الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {فلما رأوه عارضا مستقبل أوديتهم قالوا هذا عارض ممطرنا بل هو ما استعجلتم به ريح فيها عذاب أليم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Phir jab un logon ne baadal ko apni wadiyon ke oopar aate dekha to bole ke waah ye to baadal hai jo hum par barse ga, nahi balkeh ye to woh hai jis ki tum jaldi machaya karte the, yani ek aandhi jis mein dard-naak azab hai”.
Hadith Number: 4828
حدثنا احمد بن عيسى، حدثنا ابن وهب، اخبرنا عمرو، ان ابا النضر حدثه، عن سليمان بن يسار، عن عائشة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت: ما رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم ضاحكا حتى ارى منه لهواته إنما كان يتبسم.
Hum se Ahmad ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Wahb ne byaan kiya , unhein Amr ne khabar di , un se Abu al-Nadr ne byaan kiya , un se Sulayman bin Yasar ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko kabhi is tarah hanste nahi dekha ke Aap ke halaq ka kauwa nazar aa jaye balkay Aap tabassum farmaya karte thay , byaan kiya ke jab bhi Aap baadal ya hawa dekhte to (ghabrahat aur Allah ka khauf) Aap ke chehra mubarak se pehchan liya jata .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6092
حدثنا يحيى بن سليمان، قال: حدثني ابن وهب، اخبرنا عمرو، ان ابا النضر، حدثه عن سليمان بن يسار، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" ما رايت النبي صلى الله عليه وسلم مستجمعا قط ضاحكا حتى ارى منه لهواته، إنما كان يتبسم".
Hum se Yahya bin Sulayman ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Ibn Wahb ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Amr ne khabar di, in se Abu al-Nadr ne bayan kiya, in se Sulayman bin Yasar ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko is tarah khul kar kabhi hanste nahi dekha ke Aap ke halaq ka kauwa nazar aane lagta ho, Aap salla Allahu alaihi wasallam sirf muskurate thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة