الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {والأرض جميعا قبضته يوم القيامة والسموات مطويات بيمينه} :
Bab: Ayat «wal-ardu jamee’an qabdatuhu yawmal qiyamati was-samawatu matwiyyaatun bi-yameenihi» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4812
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عبد الرحمن بن خالد بن مسافر، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، ان ابا هريرة، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" يقبض الله الارض ويطوي السموات بيمينه، ثم يقول: انا الملك اين ملوك الارض".
Hum se Saeed bin Afir ne byaan kiya , kaha ke mujh se Layth bin Saad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdur Rahman bin Khalid bin Musafir ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne aur un se Abu Salamah aur Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke Qayamat ke din Allah saari zameen ko apni mutthi mein le ga aur aasman ko apne dahne hath mein lapait le ga . Phir farmaye ga «ana al-maliku , ayna mulookul ardi» ”aaj hukoomat sirf meri hai , duniya ke baadshah aaj kahan hain ?“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6519
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، حدثني سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يقبض الله الارض ويطوي السماء بيمينه، ثم يقول: انا الملك اين ملوك الارض؟".
Hum se Muqatil Marwazi ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha hum ko Yunus bin Yazid Aili ne khabar di , unhein Zuhri ne , kaha mujh se Saeed bin al-Musayyab ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala zameen ko apni mut-thi mein le le ga aur aasmanon ko apne dayein hath mein lapeit le ga , phir farmaye ga ke ab main hoon badshah , aaj zameen ke badshah kahan gaye ?“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7382
حدثنا احمد بن صالح، حدثنا ابن وهب، اخبرني يونس، عن ابن شهاب، عن سعيد هو ابن المسيب، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يقبض الله الارض يوم القيامة، ويطوي السماء بيمينه، ثم يقول: انا الملك اين ملوك الارض؟"، وقال شعيب، والزبيدي وابن مسافر وإسحاق بن يحيى، عن الزهري، عن ابي سلمة مثله.
Hum se Ahmad bin Salih ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Wahb ne bayan kiya, unhon ne mujhko Yunus ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhein Saeed ne, unhein Abu Hurairyah razi Allahu anhune ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Qayamat ke din zameen ko apni mut-thi mein le le ga aur aasman ko apne dayein hath mein lapeit le ga phir farmaye ga main badshah hoon, kahan hain zameen ke badshah.“ Shuayb aur Zhubaydi bin Musafir aur Ishaq bin Yahya ne Zuhri se bayan kiya aur in se Abu Salamah razi Allahu anhune.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7413
وقال عمر بن حمزة، سمعت سالما، سمعت ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم بهذا، وقال ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني ابو سلمة، ان ابا هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: يقبض الله الارض.
Aur Umar bin Hamza ne bayan kiya unhon ne kaha ke main ne Salim se suna, unhon ne Ibn Umar razi Allahu anha se aur unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yahi hadees. Abu al-Yaman ne bayan kiya, unhein Shuayb ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Abu Salamah ne khabar di aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah zameen ko apni mut-thi mein le le ga.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة