الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الرِّقَاقِ
The Book of Ar-Riqaq (Softening of The Hearts)
بَابُ يَقْبِضُ اللَّهُ الأَرْضَ:
Chapter. On the Day of Resurrection, Allah will grasp (or hold) the whole (planet of) earth (in His Hand).
Show diacritics
Hadith Number: Q6519
رواه نافع، عن ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is amar ko Nafi ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se riwayat kiya hai aur unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se .


Show diacritics
Hadith Number: 6519
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، حدثني سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يقبض الله الارض ويطوي السماء بيمينه، ثم يقول: انا الملك اين ملوك الارض؟".
Hum se Muqatil Marwazi ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha hum ko Yunus bin Yazid Aili ne khabar di , unhein Zuhri ne , kaha mujh se Saeed bin al-Musayyab ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala zameen ko apni mut-thi mein le le ga aur aasmanon ko apne dayein hath mein lapeit le ga , phir farmaye ga ke ab main hoon badshah , aaj zameen ke badshah kahan gaye ?“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6520
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن خالد، عن سعيد بن ابي هلال، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" تكون الارض يوم القيامة خبزة واحدة يتكفؤها الجبار بيده كما يكفا احدكم خبزته في السفر نزلا لاهل الجنة"، فاتى رجل من اليهود، فقال: بارك الرحمن عليك يا ابا القاسم، الا اخبرك بنزل اهل الجنة يوم القيامة، قال: بلى، قال: تكون الارض خبزة واحدة كما قال النبي صلى الله عليه وسلم، فنظر النبي صلى الله عليه وسلم إلينا، ثم ضحك حتى بدت نواجذه، ثم قال:" الا اخبرك بإدامهم، قال: إدامهم بالام ونون، قالوا: وما هذا؟ قال:" ثور ونون ياكل من زائدة كبدهما سبعون الفا".
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , in se Khalid bin Yazid ne , in se Saeed bin Abi Hilal ne , in se Zayd bin Aslam ne , in se Ata bin Yasar ne aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Qayamat ke din saari zameen ek roti ki tarah ho jaye gi jise Allah Ta'ala ahal e jannat ki mezbani ke liye apne hath se ulte palte ga jis tarah tum dastar-khwan par roti lehrate phirate ho . Phir ek Yahudi aaya aur bola: Abu al-Qasim! Tum par Rahman barkat nazil kare kiya main tumhein Qayamat ke din ahal e jannat ki sab se pehli zhiyafat ke baare mein khabar na doon ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , kyun nahi . To us ne (bhi yahi) kaha ke saari zameen ek roti ki tarah ho jaye gi jaisa ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya thu . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamari taraf dekha aur muskuraye jis se Aap ke aage ke daant dikhayi dene lage . Phir (is ne) khud hi poochha kiya main tumhein is ke saalan ke mutalliq khabar na doon ? (phir khud hi) bola ke in ka saalan «baalamun wa noonun» ho ga . Sahabah razi Allahu anhum ne kaha ke yeh kiya cheez hai ? Is ne kaha ke bail aur machhli jis ki kaleji ke saath zaaid charbi ke hisse ko sattar hazar aadmi khayein ge .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6521
حدثنا سعيد بن ابي مريم، اخبرنا محمد بن جعفر، قال: حدثني ابو حازم، قال: سمعت سهل بن سعد، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" يحشر الناس يوم القيامة على ارض بيضاء عفراء كقرصة نقي"، قال سهل او غيره: ليس فيها معلم لاحد.
Hum se Saeed bin Abu Maryam ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Muhammad bin Jafar ne khabar di , unhon ne kaha ke mujh se Abu Hazim Salama bin Dinar ne bayan kiya , unhon ne kaha ke main ne Sahl bin Saad al-Saadi razi Allahu anhu se suna kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Qayamat ke din logon ka hashr sufaid wa surkhi-aameez zameen par ho ga jaise maida ki roti saaf wa sufaid hoti hai . Is zameen par kisi (cheez) ka koi nishan na ho ga .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain