الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {فمنهم من قضى نحبه ومنهم من ينتظر وما بدلوا تبديلا} :
Bab: Ayat ki tafseer“So un mein kuch aise log bhi hain jo apni nazr poori kar chuke aur kuch un mein se waqt aane ka intezar kar rahe hain aur unhon ne apne ahd mein zara farq nahi aane diya”.
Show diacritics
Hadith Number: 4783
حدثني محمد بن بشار، حدثنا محمد بن عبد الله الانصاري، قال: حدثني ابي، عن ثمامة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" نرى هذه الآية نزلت في انس بن النضر: من المؤمنين رجال صدقوا ما عاهدوا الله عليه سورة الاحزاب آية 23".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Abdullah Ansari ne byaan kiya , kaha ke mujh se mere walid ne byaan kiya , un se Sumama ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hamare khayal mein yeh aayat Anas bin Nadr ke baare mein nazil hui thi «minal momineena rijaalun sadaqoo ma aahadullaha alayhi» ke ”Ahl e Iman mein kuch log aise bhi hain ke unhon ne Allah se jo ahad kiya tha is mein woh sache utray .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2807
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، حدثني إسماعيل، قال: حدثني اخي، عن سليمان اراه، عن محمد بن ابي عتيق، عن ابن شهاب، عن خارجة بن زيد، ان زيد بن ثابت رضي الله عنه، قال نسخت الصحف في المصاحف، ففقدت آية من سورة الاحزاب كنت اسمع رسول الله صلى الله عليه وسلم" يقرا بها فلم اجدها إلا مع خزيمة بن ثابت الانصاري الذي جعل رسول الله صلى الله عليه وسلم شهادته شهادة رجلين" وهو قوله" من المؤمنين رجال صدقوا ما عاهدوا الله عليه" سورة الاحزاب آية 23.
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di Zuhri se, doosri sanad aur mujh se Ismail ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere bhai ne bayan kiya, un se Sulaiman ne, mera khayal hai ke Muhammad Bin Ateeq ke wasta se, un se Ibn Shihab (Zuhri) ne aur un se Kharija Bin Zaid ne ke Zaid Bin Sabit (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab Quran Majeed ko ek mushaf (kitabi) ki surat mein jama kiya jaane laga to mein ne Surah Al-Ahzab ki ek aayat nahi payi jis ki Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se barabar Aap ki tilawat karte hue sunta raha tha (jab mein ne use talash kiya to) sirf Khuzaimah Bin Sabit Ansari (Radi Allahu Anhu) ke yahan wo aayat mujhe mili. Ye Khuzaimah (Radi Allahu Anhu) wahi hain jin ki akele ki gawahi ko Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne do aadmiyon ki gawahi ke barabar qarar diya tha. Wo aayat ye thi «mn almwmny n rjal sdqw ma eahdw allh elyh» (Surah Al-Ahzab: 23) "Mominon mein se kuch mard aise hain jinhon ne wo baat sach kahi jis par unhon ne Allah se ahd kiya."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة