الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {فلا تعلم نفس ما أخفي لهم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Kisi momin ko ilm nahi jo jo samaan (jannat mein) un ke liye posheeda kar ke rakhe gaye hain jo un ki aankhon ki thandak banenge”.
Hadith Number: 4780
حدثني إسحاق بن نصر، حدثنا ابو اسامة، عن الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، يقول الله تعالى:" اعددت لعبادي الصالحين ما لا عين رات، ولا اذن سمعت، ولا خطر على قلب بشر ذخرا بله ما اطلعتم عليه"، ثم قرا:فلا تعلم نفس ما اخفي لهم من قرة اعين جزاء بما كانوا يعملون سورة السجدة آية 17، قال ابو معاوية: عن الاعمش، عن ابي صالح، قرا ابو هريرة قرات اعين.
Mujh se Ishaq bin Nasr ne byaan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya , un se Aamash ne , kaha hum se Abu Salih ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala irshad farmata hai ke main ne apne naiko-kar bandon ke liye woh cheezin tayyar rakkhi hain jinhein kisi aankh ne na dekha aur kisi kaan ne na suna aur na kisi insan ke dil mein un ka kabhi guman o khayal paida hua . Allah ki in niamaton se waqfiyat aur aagahi to alag rahi (in ka kisi ko guman o khayal bhi paida nahi hua) . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is aayat ki tilawat ki «fala talamu nafsun ma ukhfiya lahum min qurrati ayunin jazaa-an bima kanoo yamaloona» ke ”so kisi nafs e momin ko maloom nahi jo jo saman aankhon ki thandak ka (jannat mein) un ke liye chhupa kar rakkha gaya hai , yeh badla hai un ke naik amalon ka jo duniya mein karte rahe .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3244
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال الله:" اعددت لعبادي الصالحين ما لا عين رات، ولا اذن سمعت، ولا خطر على قلب بشر فاقرءوا إن شئتم فلا تعلم نفس ما اخفي لهم من قرة اعين".
Hum se Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyaina ne bayan kiya, kaha hum se Abu-uz-Zinad ne bayan kiya, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah Ta'ala ka irshad hai ke mein ne apne naik bandon ke liye wo cheezain tayyar kar rakhi hain, jinhein na ankhon ne dekha, na kanon ne suna aur na kisi insan ke dil mein un ka kabhi khayal guzra hai. Agar jee chahe to ye ayat parh lo 'fala talamu nafsun ma ukhfiya lahum min qurrati ayunin' 'Pas koi shakhs nahi janta ke is ki ankhon ki thandak ke liye kya kya cheezain chhupa kar rakhi gayi hain'."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة