الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {إنك لا تهدي من أحببت ولكن الله يهدي من يشاء} :
Bab: Ayat ki tafseer“Jis ko tum chaho hidayat nahi kar sakte, albatta Allah hidayat deta hai use jis ke liye woh hidayat chahta hai”.
Hadith Number: 4772
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، عن ابيه، قال:" لما حضرت ابا طالب الوفاة جاءه رسول الله صلى الله عليه وسلم فوجد عنده ابا جهل وعبد الله بن ابي امية بن المغيرة، فقال:" اي عم قل لا إله إلا الله كلمة احاج لك بها عند الله"، فقال ابو جهل، وعبد الله بن ابي امية: اترغب عن ملة عبد المطلب، فلم يزل رسول الله صلى الله عليه وسلم يعرضها عليه ويعيدانه بتلك المقالة حتى، قال ابو طالب: آخر ما كلمهم على ملة عبد المطلب وابى ان، يقول: لا إله إلا الله، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والله لاستغفرن لك ما لم انه عنك، فانزل الله: ما كان للنبي والذين آمنوا ان يستغفروا للمشركين سورة التوبة آية 113 وانزل الله في ابي طالب، فقال لرسول الله صلى الله عليه وسلم: إنك لا تهدي من احببت ولكن الله يهدي من يشاء سورة القصص آية 56 قال ابن عباس: اولي القوة: لا يرفعها العصبة من الرجال، لتنوء: لتثقل، فارغا: إلا من ذكر موسى، الفرحين: المرحين، قصيه: اتبعي اثره، وقد يكون ان يقص الكلام نحن نقص عليك، عن جنب: عن بعد، عن جنابة واحد، وعن اجتناب ايضا يبطش ويبطش، ياتمرون: يتشاورون العدوان والعداء والتعدي، واحد، آنس: ابصر الجذوة قطعة غليظة من الخشب ليس فيها لهب والشهاب فيه لهب، والحيات اجناس الجان والافاعي والاساود، ردءا: معينا، قال ابن عباس: يصدقني، وقال غيره: سنشد: سنعينك كلما عززت شيئا فقد جعلت له عضدا مقبوحين مهلكين، وصلنا: بيناه واتممناه، يجبى: يجلب، بطرت: اشرت، في امها رسولا: ام القرى مكة وما حولها، تكن: تخفي اكننت الشيء اخفيته وكننته اخفيته واظهرته، ويكان الله: مثل الم تر ان الله، يبسط الرزق لمن يشاء ويقدر: يوسع عليه ويضيق عليه".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , un se Zuhri ne byaan kiya . Unhein Saeed bin Musayyab ne khabar di aur un se un ke walid (Musayyab bin Hazn) ne byaan kiya ke jab Abu Talib ki wafat ka waqt qareeb hua to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam un ke paas aaye , Abu Jahl aur Abdullah bin Abi Umayyah bin Mugheerah wahan pehle hi se maujood thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Chacha! Aap sirf kalma «la ilaha illallah» parh dijiye taake is kalma ke zariye Allah ki bargah mein Aap ki shafaat karoon . Is par Abu Jahl aur Abdullah bin Abi Umayyah bolay kya tum Abdul Muttalib ke mazhab se phir jao ge ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam baar baar un se yahi kehte rahe (ke Aap sirf ek kalma parh lein) aur yeh donon bhi apni baat un ke samne baar baar dohrate rahe (ke kya tum Abdul Muttalib ke mazhab se phir jao ge ?) aakhir Abu Talib ki zaban se jo aakhri kalma nikla woh yahi tha ke woh Abdul Muttalib ke mazhab par hi qaim hain . Unhon ne «la ilaha illallah» parhne se inkar kar diya . Rawi ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ki qasam! Main Aap ke liye talab e maghfirat karta rahoon ga ta-aankay mujhe is se rok na diya jaye . Phir Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «ma kana linnabiyyi wallazhina aamanu an yastaghfiroo lilmushrikeena» ”Nabi aur iman walon ke liye yeh munasib nahi hai ke woh mushrikeen ke liye dua e maghfirat karein .“ Aur khaas Abu Talib ke baare mein yeh aayat nazil hui Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha gaya «innaka la tahdee man ahbabta wa laakinnallaha yahdee man yashaa'u» ke ”jis ko tum chaho hidayat nahi kar sakte , albatta Allah hidayat deta hai usay jis ke liye woh hidayat chahta hai .“ Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «ulil quwwati» se yeh murad hai ke kai zor dar aadmi mil kar bhi is ki kunjiyan nahi utha sakte thay . «l-tanoo'a» ka matlab dhoi jati thien . «faarighan» ka maani yeh hai ke Musa ki maan ke dil mein Musa ke siwa aur koi khaas nahi raha tha . «al-fariheena» ka maani khushi se itrate huay . «qussheehi» yani is ke peeche peeche chali ja . «qasasun» ke maani byaan karne ke hote hain jaise Surah Yusuf mein farmaya «nahnu naqussu alayka» , «an junubin» yani door se «an janabatin» ka bhi yahi maani hai aur «an-ijtinabin» ka bhi yahi hai . «yab-tishu» ba-kasrah taa aur «yab-tushu» ba-dhumma taa donon qirat hain . «ya'tamiroona» mashwara kar rahe hain . «udwanan» aur «adwan» aur «ta'addi» sab ka ek hi mafhoom hai yani had se barh jana zulm karna . «aanasa» ka maani dekhna . «jazhwatun» lakri ka mota tukra jis ke sirray par aag lagi ho magar is mein shola na ho aur «shihabun» jo aayat «awatikum bi-shihabin qabasin» mein hai is se murad aaisi jalti hui lakri jis mein shola ho . «hayyaatun» yani sanpon ki mukhtalif qasmein (jaise) jaan , af-ee , aswad waghaira «rid-an» yani madadgar , pusht-panah . Ibn Abbas razi Allahu anhu ne «yusaddiquni» ba-dhumma qaaf parha hai . Auron ne kaha «sanashuddu» ka maani yeh hai ke hum teri madad karein ge Arab log ka muhawara hai jab kisi ko quwwat dete hain to kehte hain «jaaltu lahu adudan» . «maqbuheena» ka maani halak kiye gaye . «wassalna» hum ne is ko byaan kiya aur poora kiya . «yujba» kichay aate hain . «batirat» shararat ki . «fee ummiha rasoolan» , «ummul qura» Makkah aur is ke atraf ko kehte hain . «tukinnu» ka maani chhupati hain . Arab log kehte hain «ak-nantu» yani main ne is ko chhupa liya . «kanantuhu» ka bhi yahi maani hai . «way-ka'annallaha» ka maani «alam tara annallaha» ke yani kya tu ne nahi dekha . «yabsutur-rizqa liman yashaa'u wa yaqdiru» yani Allah jis ko chahta hai faraghat se rozi deta hai jise chahta hai tangi se deta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1360
حدثنا إسحاق، اخبرنا يعقوب بن إبراهيم , قال: حدثني ابي , عن صالح، عن ابن شهاب , قال: اخبرني سعيد بن المسيب، عن ابيه، انه اخبره، انه" لما حضرت ابا طالب الوفاة جاءه رسول الله صلى الله عليه وسلم فوجد عنده ابا جهل بن هشام وعبد الله بن ابي امية بن المغيرة، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم لابي طالب:" يا عم، قل: لا إله إلا الله كلمة اشهد لك بها عند الله، فقال ابو جهل: وعبد الله بن ابي امية: يا ابا طالب اترغب عن ملة عبد المطلب، فلم يزل رسول الله صلى الله عليه وسلم يعرضها عليه , ويعودان بتلك المقالة، حتى قال ابو طالب: آخر ما كلمهم هو على ملة عبد المطلب، وابى ان يقول: لا إله إلا الله، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اما والله لاستغفرن لك ما لم انه عنك، فانزل الله تعالى فيه: ما كان للنبي سورة التوبة آية 113".
Hum se Ishaq bin Rahwayh ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Yaqub bin Ibrahim ne khabar di ‘ kaha ke mujhe mere baap (Ibrahim bin Saad) ne Salih bin Kaysan se khabar di ‘ unhein Ibn Shihab ne ‘ unhon ne byaan kiya ke mujhe Saeed bin Musayyib ne apne baap (Musayyib bin Hazn razi Allahu anhu) se khabar di ‘ un ke baap ne unhein yeh khabar di ke jab Abu Talib ki wafat ka waqt qareeb aaya to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam un ke paas tashreef laaye . Dekha to un ke paas is waqt Abu Jahl bin Hisham aur Abdullah bin Abi Umayya bin Mughira maujood thay . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke chacha! Aap ek kalma «la ilaha illallah» (Allah ke siwa koi mabood nahin) keh dijiye taake main Allah Ta'ala ke han is kalma ki wajah se Aap ke haq mein gawahi de sakoon . Is par Abu Jahl aur Abdullah bin Abi Umayya ne kaha Abu Talib! kya tum apne baap Abdul Muttalib ke deen se phir jao ge ? Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam barabar kalma-e-Islam un par pesh karte rahe . Abu Jahl aur Ibn Abi Umayya bhi apni baat dohrate rahe . Aakhir Abu Talib ki aakhri baat yeh thi ke woh Abdul Muttalib ke deen par hain . Unhon ne «la ilaha illallah» kehne se inkaar kar diya phir bhi Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main Aap ke liye istighfar karta rahoon ga . Ta-aanke mujhe mana na kar diya jaye is par Allah Ta'ala ne aayat «ma kana lin-nabiyyi...» nazil farmayi . (at-Tauba: 113)
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3884
حدثنا محمود، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابن المسيب، عن ابيه، ان ابا طالب لما حضرته الوفاة دخل عليه النبي صلى الله عليه وسلم وعنده ابو جهل، فقال:" اي عم قل لا إله إلا الله كلمة احاج لك بها عند الله"، فقال ابو جهل , وعبد الله بن ابي امية: يا ابا طالب ترغب عن ملة عبد المطلب فلم يزالا يكلمانه حتى قال: آخر شيء كلمهم به على ملة عبد المطلب، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لاستغفرن لك ما لم انه عنه" , فنزلت ما كان للنبي والذين آمنوا ان يستغفروا للمشركين ولو كانوا اولي قربى من بعد ما تبين لهم انهم اصحاب الجحيم سورة التوبة آية 113 , ونزلت إنك لا تهدي من احببت سورة القصص آية 56".
Hum se Mahmood Bin Ghailan ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya, unhein Ma'mar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Saeed Bin Musayyib ne aur unhein un ke walid Musayyib Bin Huzn Sahabi Radi Allahu Anhu ne ke jab Abu Talib ki wafat ka waqt qareeb hua to Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam un ke paas tashreef le gaye. Is waqt wahan Abu Jahl bhi baitha hua tha. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”chacha! Kalma La ilaha illallah ek martaba keh do, Allah ki bargah mein (aap ki bakhshish ke liye) ek yahi daleel mere hath aa jaye gi.“ Is par Abu Jahl aur Abdullah Bin Abi Umayyah ne kaha: Ay Abu Talib! Kya Abdul Muttalib ke deen se tum phir jao ge! Ye dono in hi par zor dete rahe aur aakhri kalma jo un ki zaban se nikla, wo ye tha ke mein Abdul Muttalib ke deen par qaim hoon. Phir Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke mein un ke liye is waqt tak maghfirat talab karta rahoon ga jab tak mujhe is se mana na kar diya jaye ga. Chunanche (Surah-al-Bara'at mein) ye ayat nazil hui «Ma kana linnabiyyi wallazeena aamanu ay yastaghfiru lil mushrikeena walau kanu uli qurba mim ba'di ma tabayyana lahum annahum as-habul jaheemi» ”Nabi ke liye aur musalmanon ke liye munasib nahi hai ke mushrikeen ke liye dua maghfirat karein khwah wo un ke naate wale hi kyun na hon jab ke un ke samne ye baat wazeh ho gayi ke wo dozakhi hain.“ Aur Surah-al-Qasas mein ye ayat nazil hui «Innaka la tahdi man ahbabta» ”Beshak jise aap chahein hidayat nahi kar sakte.“
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4675
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابيه، قال: لما حضرت ابا طالب الوفاة، دخل عليه النبي صلى الله عليه وسلم وعنده ابو جهل، وعبد الله بن ابي امية، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اي عم، قل لا إله إلا الله احاج لك بها عند الله"، فقال ابو جهل وعبد الله بن ابي امية: يا ابا طالب، اترغب عن ملة عبد المطلب، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لاستغفرن لك ما لم انه عنك، فنزلت ما كان للنبي والذين آمنوا ان يستغفروا للمشركين ولو كانوا اولي قربى من بعد ما تبين لهم انهم اصحاب الجحيم سورة التوبة آية 113".
Hum se Ahmad bin Salih ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya , kaha ke mujhe Yunus ne khabar di (doosri sanad) Ahmad bin Salih ne byaan kiya ke hum se Anbasah bin Khalid ne byaan kiya , kaha hum se Yunus ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , kaha mujh ko Abdur Rahman bin Kabb ne khabar di , kaha ke mujhe Abdullah bin Kabb ne khabar di ke (un ke walid) Kabb bin Malik razi Allahu anhu jab nabina ho gaye to un ke beton mein yahi un ko raste mein saath le kar chalte hain . Unhon ne byaan kiya ke main ne Kabb bin Malik se un ke waqia ke silsile mein suna jis ke baare mein aayat «wa alas-salasatil-lazhina khullifu» nazil hui thi . Aap ne aakhir mein (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se) arz kiya tha ke apni tauba ke qabool hone ki khushi mein apna tamam maal Allah aur us ke Rasool ke raste mein khairat karta hoon . Lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi apna kuch thora maal apne paas hi rehne do . Yeh tumhare haq mein bhi behtar hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6681
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، عن ابيه، قال: لما حضرت ابا طالب الوفاة جاءه رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" قل: لا إله إلا الله كلمة احاج لك بها عند الله".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuayb ne khabar di, in se Zuhri ne bayan kiya, unhein Saeed bin al-Musayyab ne khabar di, in ke walid (Musayyab razi Allahu anhu) ne bayan kiya ke jab Janab Abu Talib ki maut ki waqt qareeb hua to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam in ke paas aaye aur kaha ke Aap keh dijiye ke ”Laa ilaaha illallaah“ to main Aap ke liye Allah se jhagarr sakoon ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة