الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {والذين لا يدعون مع الله إلها آخر ولا يقتلون النفس التى حرم الله إلا بالحق ولا يزنون ومن يفعل ذلك يلق أثاما} العقوبة:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jo Allah Taala ke sath kisi aur ma’bood ko nahi pukarte aur jis (insaan) ki jaan ko Allah ne haram qaraar diya hai use woh qatl nahi karte, magar haan haq par aur na zina karte hain aur jo koi aisa kare ga use saza bhugatni hi pare gi” «athaman» ke ma’ni uqoobat wa saza hai.
Show diacritics
Hadith Number: 4764
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا منصور، عن سعيد بن جبير، قال:" سالت ابن عباس رضي الله عنهما، عن قوله تعالى: فجزاؤه جهنم سورة النساء آية 93، قال: لا توبة له، وعن قوله جل ذكره: لا يدعون مع الله إلها آخر سورة الفرقان آية 68، قال: كانت هذه في الجاهلية".
Hum se Adam ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum se Mansoor ne byaan kiya , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se «fajazauhu jahannamu» ke mutalliq sawal kiya to unhon ne farmaya ke is ki tauba qabool nahi ho gi aur Allah Ta'ala ke irshad «la yad-u-na ma'allahi ilahan aakhara» ke mutalliq poocha to Aap ne farmaya ke yeh in logon ke mutalliq hai jinon ne zamana e jahiliyat mein qatl kiya ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3855
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، حدثني سعيد بن جبير، او قال: حدثني الحكم، عن سعيد بن جبير، قال: امرني عبد الرحمن بن ابزى، قال: سل ابن عباس عن هاتين الآيتين ما امرهما ولا تقتلوا النفس التي حرم الله إلا بالحق سورة الانعام آية 151 ,ومن يقتل مؤمنا متعمدا سورة النساء آية 93 فسالت ابن عباس، فقال:" لما انزلت التي في الفرقان"، قال: مشركو اهل مكة فقد قتلنا النفس التي حرم الله , ودعونا مع الله إلها آخر , وقد اتينا الفواحش، فانزل الله: إلا من تاب وآمن سورة مريم آية 60 الآية , فهذه لاولئك , واما التي في النساء: الرجل إذا عرف الإسلام وشرائعه ثم قتل , فجزاؤه جهنم , فذكرته لمجاهد، فقال:" إلا من ندم".
Hum se Usman Bin Abi Shaibah ne bayan kiya, kaha hum se Jarir ne bayan kiya, un se Mansoor ne, kaha mujh se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya ya (Mansoor ne) is tarah bayan kiya ke mujh se Hakam ne bayan kiya, un se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya ke mujh se Abdur Rahman Bin Abza Radi Allahu Anhu ne kaha ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se in dono aayaton ke mutaliq poocho ke in mein mutabiqat kis tarah paida ki jaye (ek ayat «Wa la taqtulu-nnafsallati harramallahu» aur doosri ayat «Wa may yaqtul mu'minam muta'ammidan» hai. Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se mein ne poocha to unhon ne batlaya ke jab Surah-ul-Furqan ki ayat nazil hui to mushrikeen-e-Makkah ne kaha hum ne to in jaanon ka bhi khoon kiya hai jin ke qatl ko Allah Ta'ala ne haram qarar diya tha hum Allah ke siwa doosre maboodon ki ibadat bhi karte rahe hain aur badkariyon ka bhi hum ne irtikab kiya hai. Is par Allah Ta'ala ne ayat nazil farmai «Illa man taba wa aamana» ”wo log is hukm se alag hain jo tauba kar lein aur iman le aayein“ to ye ayat un ke haqq mein nahi hai lekin Surah-an-Nisa ki ayat is shakhs ke bare mein hai jo Islam aur sharaye-e-Islam ke ahkam jaan kar bhi kisi ko qatl kare to is ki saza jahannum hai. Mein ne Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhuma ke is irshad ka zikr Mujahid se kiya to unhon ne kaha ke wo log is hukm se alag hain jo tauba kar lein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة