الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {وَالَّذِينَ لاَ يَدْعُونَ مَعَ اللَّهِ إِلَهًا آخَرَ وَلاَ يَقْتُلُونَ النَّفْسَ الَّتِي حَرَّمَ اللَّهُ إِلاَّ بِالْحَقِّ وَلاَ يَزْنُونَ وَمَنْ يَفْعَلْ ذَلِكَ يَلْقَ أَثَامًا} الْعُقُوبَةَ:
Chapter. The Statement of Allah:“And those who invoke not any other ilah (god) along with Allah, nor kill such person...”(V.25:68)
Hadith Number: 4761
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، قال: حدثني منصور، وسليمان، عن ابي وائل، عن ابي ميسرة، عن عبد الله. ح قال:وحدثني واصل، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: سالت او سئل رسول الله صلى الله عليه وسلم اي الذنب عند الله اكبر؟ قال:"ان تجعل لله ندا وهو خلقك"، قلت، ثم اي، قال:" ثم ان تقتل ولدك خشية ان يطعم معك"، قلت: ثم اي، قال:" ان تزاني بحليلة جارك"، قال: ونزلت هذه الآية تصديقا لقول رسول الله صلى الله عليه وسلم: والذين لا يدعون مع الله إلها آخر ولا يقتلون النفس التي حرم الله إلا بالحق ولا يزنون سورة الفرقان آية 68".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Yahya ne byaan kiya , un se Sufyan Sawri ne byaan kiya ke mujh se Mansoor aur Sulayman ne byaan kiya , un se Abu Wail ne , un se Abu Maysarah ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne (Sufyan Sawri ne kaha ke) aur mujh se Wasil ne byaan kiya aur un se Abu Wail ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne poocha , ya (Aap ne yeh farmaya ke) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se poocha gaya ke kaun sa gunah Allah ke nazdeek sab se bara hai ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya yeh ke tum Allah ka kisi ko shareek thehrao haalan ke usi ne tumhein paida kiya hai . Main ne poocha is ke baad kaun sa ? Farmaya ke is ke baad sab se bara gunah yeh hai ke tum apni aulad ko is khauf se maar daalo ke woh tumhari rozi mein shareek ho gi . Main ne poocha is ke baad kaun sa ? Farmaya ke is ke baad yeh ke tum apne parosi ki biwi se zina karo . Rawi ne byaan kiya ke yeh aayat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke farman ki tasdeeq ke liye nazil hui «wallazhina la yad-u-na ma'allahi ilahan aakhara wa la yaqtuloonan-nafsallati harramallahu illa bil-haqqi» ke ”aur jo Allah ke saath kisi aur mabood ko nahi pukaarte aur jis (insan) ki jaan ko Allah ne haram qarar diya hai usay qatl nahi karte magar haan haq par aur na woh zina karte hain .“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4762
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني القاسم بن ابي بزة:" انه سال سعيد بن جبير، هل لمن قتل مؤمنا متعمدا من توبة؟ فقرات عليه ولا يقتلون النفس التي حرم الله إلا بالحق سورة الفرقان آية 68، فقال سعيد: قراتها علىابن عباس كما قراتها علي، فقال: هذه مكية نسختها آية مدنية التي في سورة النساء".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne khabar di , kaha ke mujhe Qasim bin Abi Bazzah ne khabar di , unhon ne Saeed bin Jubayr se poocha ke agar koi shakhs kisi Musalman ko jaan boojh kar qatl kar de to kya is ki is gunah se tauba qabool ho sakti hai ? Unhon ne kaha ke nahi . (Ibn Abi Bazzah ne byaan kiya ke) main ne is par yeh aayat parhi «wa la yaqtuloonan-nafsallati harramallahu illa bil-haqqi» ke ”aur jis jaan ko Allah ne haram qarar diya hai usay qatl na karte , magar haan haq ke saath .“ Saeed bin Jubayr ne kaha ke main ne bhi yeh aayat Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke samne parhi thi to unhon ne kaha tha ke Makki aayat aur Madni aayat jo is silsile mein Surah Nisa mein hai is se is ka hukm mansookh ho gaya hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4763
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن المغيرة بن النعمان، عن سعيد بن جبير، قال: اختلف اهل الكوفة في قتل المؤمن، فرحلت فيه إلى ابن عباس، فقال:" نزلت في آخر ما نزل ولم ينسخها شيء".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne , un se Mugheerah bin Numan ne , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke Ahl e Kufa ka momin ke qatl ke masle mein ikhtilaf hua (ke is ke qatil ki tauba qabool ho sakti hai ya nahi) to main safar kar ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ki khidmat mein pahuncha to unhon ne kaha ke (Surah Nisa ki aayat jis mein yeh zikr hai ke jis ne kisi Musalman ko jaan boojh kar qatl kiya is ki jahannum hai .) Is silsile mein sab se aakhir mein nazil hui hai aur kisi doosri se mansookh nahi hui .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4764
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا منصور، عن سعيد بن جبير، قال:" سالت ابن عباس رضي الله عنهما، عن قوله تعالى: فجزاؤه جهنم سورة النساء آية 93، قال: لا توبة له، وعن قوله جل ذكره: لا يدعون مع الله إلها آخر سورة الفرقان آية 68، قال: كانت هذه في الجاهلية".
Hum se Adam ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum se Mansoor ne byaan kiya , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se «fajazauhu jahannamu» ke mutalliq sawal kiya to unhon ne farmaya ke is ki tauba qabool nahi ho gi aur Allah Ta'ala ke irshad «la yad-u-na ma'allahi ilahan aakhara» ke mutalliq poocha to Aap ne farmaya ke yeh in logon ke mutalliq hai jinon ne zamana e jahiliyat mein qatl kiya ho .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة