الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {والذين لا يدعون مع الله إلها آخر ولا يقتلون النفس التى حرم الله إلا بالحق ولا يزنون ومن يفعل ذلك يلق أثاما} العقوبة:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jo Allah Taala ke sath kisi aur ma’bood ko nahi pukarte aur jis (insaan) ki jaan ko Allah ne haram qaraar diya hai use woh qatl nahi karte, magar haan haq par aur na zina karte hain aur jo koi aisa kare ga use saza bhugatni hi pare gi” «athaman» ke ma’ni uqoobat wa saza hai.
Hadith Number: 4762
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني القاسم بن ابي بزة:" انه سال سعيد بن جبير، هل لمن قتل مؤمنا متعمدا من توبة؟ فقرات عليه ولا يقتلون النفس التي حرم الله إلا بالحق سورة الفرقان آية 68، فقال سعيد: قراتها علىابن عباس كما قراتها علي، فقال: هذه مكية نسختها آية مدنية التي في سورة النساء".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne khabar di , kaha ke mujhe Qasim bin Abi Bazzah ne khabar di , unhon ne Saeed bin Jubayr se poocha ke agar koi shakhs kisi Musalman ko jaan boojh kar qatl kar de to kya is ki is gunah se tauba qabool ho sakti hai ? Unhon ne kaha ke nahi . (Ibn Abi Bazzah ne byaan kiya ke) main ne is par yeh aayat parhi «wa la yaqtuloonan-nafsallati harramallahu illa bil-haqqi» ke ”aur jis jaan ko Allah ne haram qarar diya hai usay qatl na karte , magar haan haq ke saath .“ Saeed bin Jubayr ne kaha ke main ne bhi yeh aayat Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke samne parhi thi to unhon ne kaha tha ke Makki aayat aur Madni aayat jo is silsile mein Surah Nisa mein hai is se is ka hukm mansookh ho gaya hai .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators: