الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {ولا تجهر بصلاتك ولا تخافت بها} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur Aap namaz mein na to bohot pukar kar parhen aur na (bilkul) chupke hi chupke parhen”.
Hadith Number: 4723
حدثني طلق بن غنام، حدثنا زائدة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" انزل ذلك في الدعاء".
Mujh se Talq bin Ghannam ne byaan kiya , kaha hum se Za'ida bin Qudamah ne byaan kiya , un se Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke yeh aayat dua ke silsile mein nazil hui hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6337
حدثنا يحيى بن محمد بن السكن، حدثنا حبان بن هلال ابو حبيب، حدثنا هارون المقرئ، حدثنا الزبير بن الخريت، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" حدث الناس كل جمعة مرة، فإن ابيت فمرتين، فإن اكثرت فثلاث مرار، ولا تمل الناس هذا القرآن، ولا الفينك تاتي القوم وهم في حديث من حديثهم فتقص عليهم، فتقطع عليهم حديثهم فتملهم، ولكن انصت فإذا امروك، فحدثهم وهم يشتهونه، فانظر السجع من الدعاء فاجتنبه، فإني عهدت رسول الله صلى الله عليه وسلم واصحابه لا يفعلون إلا ذلك"، يعني لا يفعلون إلا ذلك الاجتناب.
Hum se Yahya bin Muhammad bin Sakan ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Habban bin Hilal Abu Habeeb ne bayan kiya, kaha hum se Haroon Muqri ne bayan, kaha hum se Zubayr bin Khuray-yit ne bayan kiya, in se Ikrimah ne aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke logon ko waz hafta mein sirf ek din Jumu'ah ko kiya kar, agar tum is par tayyar na ho to do martaba agar tum zyada hi karna chahte ho to pas teen din aur logon ko is Quran se ukta na dena, aisa na ho ke tum kuch logon ke paas pahuncho, woh apni baaton mein masroof hon aur tum pahunchte hi in se apni baat (bashakl e waz) bayan karne lago aur in ki aapas ki guftagu ko kaat do ke is tarah woh ukta jayein, balkay (aise maqam par) tumhein khamosh rehna chahiye. Jab woh tum se kahein to phir tum unhein apni baatein sunao. Is tarah ke woh bhi is taqreer ke khwahish-mand hon aur dua mein qafiya-bandi se parhez karte rehna, kyunke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam aur Aap ke sahabah ko dekha hai ke woh hamesha aisa hi karte thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7526
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" نزلت هذه الآية: ولا تجهر بصلاتك ولا تخافت بها سورة الإسراء آية 110 في الدعاء".
Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya , in se Hisham ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke aayat «wa laa taj-har bi-salaatika wa laa tukhaafit bi-haa» dua ke baare mein nazil hui , yani dua na bahut chilla kar maang na aahista balkay darmiyana raasta ikhtiyar kar .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة