ุตุญูุญ ุงูุจุฎุงุฑู
Sahih Bukhari
ูุชุงุจ ุชูุณูุฑ ุงููุฑุขู
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
ุจุงุจ ูููู: {ุงูุฐูู ููู
ุฒูู ุงูู
ุทูุนูู ู
ู ุงูู
ุคู
ููู} :
Bab: Ayat ยซallazeena yalmizoona al-muttawwiโeena minal muโmineenยป ki tafseer.
Hadith Number: 4669
ุญุฏุซูุง ุฅุณุญุงู ุจู ุฅุจุฑุงููู
ุ ูุงู: ููุช ูุงุจู ุงุณุงู
ุฉ: ุงุญุฏุซูู
ุฒุงุฆุฏุฉุ ุนู ุณููู
ุงูุ ุนู ุดูููุ ุนู ุงุจู ู
ุณุนูุฏ ุงูุงูุตุงุฑูุ ูุงู:" ูุงู ุฑุณูู ุงููู ุตูู ุงููู ุนููู ูุณูู
ูุงู
ุฑ ุจุงูุตุฏูุฉุ ููุญุชุงู ุงุญุฏูุง ุญุชู ูุฌูุก ุจุงูู
ุฏุ ูุฅู ูุงุญุฏูู
ุงูููู
ู
ุงุฆุฉ ุงููุ ูุงูู ูุนุฑุถ ุจููุณู".
Hum se Ubayd bin Ismail ne byaan kiya , un se Abu Usamah ne , un se Ubaydullah bin Umari ne , un se Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke jab Abdullah bin Ubayy (munafiq) ka intiqal hua to is ke larke Abdullah bin Abdullah (jo pukhta Musalman thay) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya ke Aap apni qamees un ke walid ke kafan ke liye inayat farma dein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne qamees inayat farmayi . Phir unhon ne arz ki ke Aap namaz e janaza bhi parha dein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam namaz e janaza parhane ke liye bhi aage barh gaye . Itne mein Umar razi Allahu anhu ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ka daman pakar liya aur arz kiya: ya Rasool Allah! Is ki namaz e janaza parhane ja rahe hain , jabke Allah Ta'ala ne Aap ko is se mana bhi farma diya hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah Ta'ala ne mujhe ikhtiyar diya hai farmaya hai ยซistaghfir lahum au la tastaghfir lahum in tastaghfir lahum sabeena marratunยป ke โAap un ke liye istighfar karein khwah na karein . Agar Aap un ke liye sattar baar bhi istighfar karein ge (tab bhi Allah unhein nahi bakhshe ga) .โ Is liye main sattar martaba se bhi zyada istighfar karoon ga . (mumkin hai ke Allah Ta'ala zyada istighfar karne se maaf kar de) Umar razi Allahu anhu bolay lekin yeh shakhs to munafiq hai . Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke aakhir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ki namaz e janaza parhayi . Is ke baad Allah Ta'ala ne yeh hukm nazil farmaya ยซwa la tusalli ala ahadin minhum maata abadan wa la taqum ala qabrihiยป ke โaur in mein se jo koi mar jaye is par kabhi bhi namaz na parh-ye aur na is ki qabr par khara huiye .โ
ุญูู
: ุฃุญุงุฏูุซ ุตุญูุญ ุงูุจุฎุงุฑูู ููููุง ุตุญูุญุฉ
Hadith Number: 1415
ุญุฏุซูุง ุนุจูุฏ ุงููู ุจู ุณุนูุฏุ ุญุฏุซูุง ุงุจู ุงููุนู
ุงู ุงูุญูู
ูู ุงุจู ุนุจุฏ ุงููู ุงูุจุตุฑูุ ุญุฏุซูุง ุดุนุจุฉุ ุนู ุณููู
ุงูุ ุนู ุงุจู ูุงุฆูุ ุนู ุงุจู ู
ุณุนูุฏ ุฑุถู ุงููู ุนูู , ูุงู:" ูู
ุง ูุฒูุช ุขูุฉ ุงูุตุฏูุฉ ููุง ูุญุงู
ูุ ูุฌุงุก ุฑุฌู ูุชุตุฏู ุจุดูุก ูุซูุฑุ ููุงููุง: ู
ุฑุงุฆูุ ูุฌุงุก ุฑุฌู ูุชุตุฏู ุจุตุงุนุ ููุงููุง: ุฅู ุงููู ูุบูู ุนู ุตุงุน ูุฐุง , ููุฒูุช: ุงูุฐูู ููู
ุฒูู ุงูู
ุทูุนูู ู
ู ุงูู
ุคู
ููู ูู ุงูุตุฏูุงุช ูุงูุฐูู ูุง ูุฌุฏูู ุฅูุง ุฌูุฏูู
ุณูุฑุฉ ุงูุชูุจุฉ ุขูุฉ 79".
Hum se Abu Qudaama Ubaidullah bin Saeed ne byaan kiya โ kaha hum se Abu Nu'man Hakam bin Abdullah Basri ne byaan kiya โ kaha hum se Shubah bin Hajjaj ne byaan kiya โ un se Sulayman Aamash ne โ un se Abu Wa'il ne aur un se Abu Masood Ansari razi Allahu anhu ne farmaya ke jab aayat-e-sadqa nazil hui to hum bojh dhoune ka kaam kiya karte thay (taake is tarah jo mazdoori mile usay sadqa kar diya jaye) isi zamana mein ek shakhs (Abdul Rahman bin Auf) aaya aur us ne sadqa ke taur par kaafi cheezon pesh ki . Is par logon ne yeh kehna shuroo kiya ke yeh aadmi riyakaar hai . Phir ek aur shakhs (Abu Aqeel naami) aaya aur us ne sirf ek saa' ka sadqa kiya . Is ke baare mein logon ne yeh keh diya ke Allah Ta'ala ko ek saa' sadqa ki kya haajat hai . Is par yeh aayat nazil hui ยซalladheena yalmizoona al-mutawwi'eena minal-moomineena fis-sadaqaati wal-ladheena la yajidoona illa juhdahumยป โwoh log jo in momino par aib lagate hain jo sadqa zyada dete hain aur un par bhi jo mehnat se kama kar laate hain . (aur kam sadqa karte hain)โ aakhir tak .
ุญูู
: ุฃุญุงุฏูุซ ุตุญูุญ ุงูุจุฎุงุฑูู ููููุง ุตุญูุญุฉ
Hadith Number: 1416
ุญุฏุซูุง ุณุนูุฏ ุจู ูุญููุ ุญุฏุซูุง ุงุจูุ ุญุฏุซูุง ุงูุงุนู
ุดุ ุนู ุดูููุ ุนู ุงุจู ู
ุณุนูุฏ ุงูุงูุตุงุฑู ุฑุถู ุงููู ุนูู , ูุงู:" ูุงู ุฑุณูู ุงููู ุตูู ุงููู ุนููู ูุณูู
ุฅุฐุง ุงู
ุฑูุง ุจุงูุตุฏูุฉ ุงูุทูู ุงุญุฏูุง ุฅูู ุงูุณูู ูุชุญุงู
ู ููุตูุจ ุงูู
ุฏุ ูุฅู ูุจุนุถูู
ุงูููู
ูู
ุงุฆุฉ ุงูู".
Hum se Saeed bin Yahya ne byaan kiya , kaha mujh se mere walid ne byaan kiya , kaha ke hum se Aamash ne byaan kiya , un se Shaqeeq ne aur un se Abu Masood Ansari razi Allahu Ta'ala anhu ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne jab humein sadqa karne ka hukm diya to hum mein se bahut se bazaar ja kar bojh uthane ki mazdoori karte aur is tarah ek mudd (ghalla ya khajoor waghera) haasil karte . (Jisay sadqa kar dete) lekin aaj hum mein se bahut son ke paas laakh laakh (dirham ya deenaar) maujood hain .
ุญูู
: ุฃุญุงุฏูุซ ุตุญูุญ ุงูุจุฎุงุฑูู ููููุง ุตุญูุญุฉ
Hadith Number: 2273
ุญุฏุซูุง ุณุนูุฏ ุจู ูุญูู ุจู ุณุนูุฏ ุงููุฑุดูุ ุญุฏุซูุง ุงุจูุ ุญุฏุซูุง ุงูุงุนู
ุดุ ุนู ุดูููุ ุนู ุงุจู ู
ุณุนูุฏ ุงูุงูุตุงุฑู ุฑุถู ุงููู ุนููุ ูุงู:" ูุงู ุฑุณูู ุงููู ุตูู ุงููู ุนููู ูุณูู
ุฅุฐุง" ุงู
ุฑูุง ุจุงูุตุฏูุฉุ ุงูุทูู ุงุญุฏูุง ุฅูู ุงูุณูู ููุญุงู
ู ููุตูุจ ุงูู
ุฏุ ูุฅู ูุจุนุถูู
ูู
ุงุฆุฉ ุงููุ ูุงู: ู
ุง ุชุฑุงู ุฅูุง ููุณู".
Hum se Saeed Bin Yahya Bin Saeed ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere baap (Yahya Bin Saeed Quraish) ne bayan kiya, un se Aamash ne bayan kiya, un se Shaqeeq ne aur un se Abu Masood Ansari (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jab humein sadaqah karne ka hukum diya, to baaz log bazaron mein ja kar bojh uthate jin se ek mudd mazdoori milti (wo is mein se bhi sadaqah karte) aaj un mein se kisi ke paas laakh laakh (dirham ya dinar) maujood hain. Shaqeeq ne kaha humara khayal hai ke Abu Masood (Radi Allahu Anhu) ne kisi se apne hi taien murad liya tha
.
.
ุญูู
: ุฃุญุงุฏูุซ ุตุญูุญ ุงูุจุฎุงุฑูู ููููุง ุตุญูุญุฉ