الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {الذين يلمزون المطوعين من المؤمنين} :
Bab: Ayat «allazeena yalmizoona al-muttawwi’eena minal mu’mineen» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4668
حدثني بشر بن خالد ابو محمد، اخبرنا محمد بن جعفر، عن شعبة، عن سليمان، عن ابي وائل، عن ابي مسعود، قال:" لما امرنا بالصدقة كنا نتحامل فجاء ابو عقيل بنصف صاع، وجاء إنسان باكثر منه، فقال المنافقون: إن الله لغني عن صدقة هذا، وما فعل هذا الآخر، إلا رئاء، فنزلت الذين يلمزون المطوعين من المؤمنين في الصدقات والذين لا يجدون إلا جهدهم سورة التوبة آية 79، الآية".
Hum se Ishaq bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha ke main ne Abu Usamah (Hammad bin Usamah) se poocha , Aap hazrat se Za'ida bin Qudamah ne byaan kiya tha ke un se Sulayman ne , un se Shaqeeq ne aur un se Abu Masood Ansari ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam sadqa ki targheeb dete thay to Aap salla Allahu alaihi wasallam ke baaz sahabah mazdoori kar ke laate aur (bari mushkil se) ek mudd ka sadqa kar sakte lekin aaj unhi mein baaz aise hain jin ke paas lakhon dirham hain . Ghaliban un ka isharah khud apni taraf tha (Hammad ne kaha haan sach hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1415
حدثنا عبيد الله بن سعيد، حدثنا ابو النعمان الحكم هو ابن عبد الله البصري، حدثنا شعبة، عن سليمان، عن ابي وائل، عن ابي مسعود رضي الله عنه , قال:" لما نزلت آية الصدقة كنا نحامل، فجاء رجل فتصدق بشيء كثير، فقالوا: مرائي، وجاء رجل فتصدق بصاع، فقالوا: إن الله لغني عن صاع هذا , فنزلت: الذين يلمزون المطوعين من المؤمنين في الصدقات والذين لا يجدون إلا جهدهم سورة التوبة آية 79".
Hum se Abu Qudaama Ubaidullah bin Saeed ne byaan kiya ‘ kaha hum se Abu Nu'man Hakam bin Abdullah Basri ne byaan kiya ‘ kaha hum se Shubah bin Hajjaj ne byaan kiya ‘ un se Sulayman Aamash ne ‘ un se Abu Wa'il ne aur un se Abu Masood Ansari razi Allahu anhu ne farmaya ke jab aayat-e-sadqa nazil hui to hum bojh dhoune ka kaam kiya karte thay (taake is tarah jo mazdoori mile usay sadqa kar diya jaye) isi zamana mein ek shakhs (Abdul Rahman bin Auf) aaya aur us ne sadqa ke taur par kaafi cheezon pesh ki . Is par logon ne yeh kehna shuroo kiya ke yeh aadmi riyakaar hai . Phir ek aur shakhs (Abu Aqeel naami) aaya aur us ne sirf ek saa' ka sadqa kiya . Is ke baare mein logon ne yeh keh diya ke Allah Ta'ala ko ek saa' sadqa ki kya haajat hai . Is par yeh aayat nazil hui «alladheena yalmizoona al-mutawwi'eena minal-moomineena fis-sadaqaati wal-ladheena la yajidoona illa juhdahum» ”woh log jo in momino par aib lagate hain jo sadqa zyada dete hain aur un par bhi jo mehnat se kama kar laate hain . (aur kam sadqa karte hain)“ aakhir tak .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة