الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون} إلى: {به عليم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Ay musalmano! jab tak Allah ki raah mein tum apni maqbool cheezon ko kharch na karo ge, neki ko na pahunch sako ge”aakhir ayat «bihi aleem» tak.
Hadith Number: 4554
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، انه سمع انس بن مالك رضي الله عنه، يقول: كان ابو طلحة اكثر انصاري بالمدينة نخلا، وكان احب امواله إليه بيرحاء، وكانت مستقبلة المسجد، وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم يدخلها ويشرب من ماء فيها طيب، فلما انزلت لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92 قام ابو طلحة، فقال: يا رسول الله، إن الله يقول: لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92، وإن احب اموالي إلي بيرحاء وإنها صدقة لله، ارجو برها وذخرها عند الله، فضعها يا رسول الله حيث اراك الله، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بخ، ذلك مال رايح، ذلك مال رايح، وقد سمعت ما قلت، وإني ارى ان تجعلها في الاقربين"، قال ابو طلحة: افعل يا رسول الله، فقسمها ابو طلحة في اقاربه، وفي بني عمه، قال عبد الله بن يوسف، وروح بن عبادة: ذلك مال رابح، حدثني يحيى بن يحيى، قال: قرات على مالك مال رايح.
Hum se Ismail bin Abi Oways ne byaan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik ne byaan kiya , un se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Madinah mein Abu Talha razi Allahu anhu ke paas Ansar mein sab se zyada khajooron ke darakht thay aur Bayruha ka bagh apni tamam jaidad mein unhein sab se zyada azeez tha . Yeh bagh Masjid e Nabwi ke samne hi tha aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi is mein tashreef le jate aur is ke meethe aur umdah pani ko peete , phir jab aayat «lan tanalul birra hatta tunfiqoo mimma tuhibboon» ”jab tak tum apni azeez tareen cheezon ko na kharch karo ge naiki ke martaba ko na pahunch sako ge .“ Nazil hui to Abu Talha razi Allahu anhu uthay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Allah Ta'ala farmata hai ke jab tak tum apni azeez cheezon ko kharch na karo ge naiki ke martaba ko na pahunch sako ge aur mera sab se zyada azeez maal Bayruha hai aur yeh Allah ki raah mein sadqa hai . Allah hi se main is ke sawab o ajr ki tawaqqo rakhta hoon , pas ya Rasool Allah! Jahan Aap munasib samjhein usay istemal karein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke khoob yeh faani hi daulat thi , yeh faani hi daulat thi . Jo kuch tum ne kaha hai woh main ne sun liya aur mera khayal hai ke tum apne azeez o aqraba ko usay de do . Abu Talha razi Allahu anhu ne kaha ke main aisa hi karoon ga , ya Rasool Allah! Chunanche unhon ne woh bagh apne azeezon aur apne naata walon mein baant diya . Abdullah bin Yusuf aur Rauh bin Ubadah ne «zhalika maalun raayihun» ( «ribh» se) byaan kiya hai . Yani yeh maal bahut nafa dene wala hai . Mujh se Yahya bin Yahya ne byaan kiya , kaha ke main ne Imam Malik ke samne «maalun raayihun» ( «rawah» se) parha tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1461
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، انه سمع انس بن مالك رضي الله عنه , يقول: كان ابو طلحة اكثر الانصار بالمدينة مالا من نخل، وكان احب امواله إليه بيرحاء، وكانت مستقبلة المسجد، وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم يدخلها ويشرب من ماء فيها طيب، قال انس: فلما انزلت هذه الآية لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92، قام ابو طلحة إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، إن الله تبارك وتعالى يقول: لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92وإن احب اموالي إلي بيرحاء، وإنها صدقة لله ارجو برها، وذخرها عند الله فضعها يا رسول الله حيث اراك الله , قال: فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: بخ ذلك مال رابح ذلك مال رابح، وقد سمعت ما قلت: وإني ارى ان تجعلها في الاقربين، فقال ابو طلحة: افعل يا رسول الله، فقسمها ابو طلحة في اقاربه وبني عمه"، تابعه روح، وقال يحيى بن يحيى , وإسماعيل، عن مالك رايح.
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Imam Malik rahmatullah alaihi ne byaan kiya ‘ un se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talhah ne ‘ ke unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna ‘ unhon ne kaha ke Abu Talhah razi Allahu anhu Madina mein Ansar mein sab se zyada maaldar thay . Apne khajoor ke baghat ki wajah se . Aur apne baghat mein sab se zyada pasand unhein Beerha ka bagh tha . Yeh bagh Masjid-e-Nabwi ke bilkul saamne tha . Aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam is mein tashreef le jaya karte aur is ka meetha paani piya karte thay . Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jab yeh aayat nazil hui «lan tanaalul-birra hatta tunfiqu mimma tuhibboon» yani ”Tum neki ko is waqt tak nahi pa sakte jab tak tum apni pyari se pyari cheez na kharch karo .“ Yeh sun kar Abu Talhah razi Allahu anhu Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya ke ae Allah ke Rasool! Allah Tabarak wa Ta'ala farmata hai ke tum is waqt tak neki ko nahi pa sakte jab tak tum apni pyari se pyari cheez na kharch karo . Aur mujhe Beerha ka bagh sab se zyada pyara hai . Is liye main isay Allah Ta'ala ke liye khairat karta hoon . Is ki neki aur is ke zakheera-e-aakhirat hone ka umeedwar hoon . Allah ke hukm se jahan Aap salla Allahu alaihi wasallam munasib samjhein isay istemal kijiye . Rawi ne byaan kiya ke yeh sun kar Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ‘ khoob! Yeh to bara hi aamdani ka maal hai . Yeh to bahut hi nafa bakhsh hai . Aur jo baat tum ne kahi maine woh sun li . Aur main munasib samajhta hoon ke tum isay apne nazdeeki rishtadaron ko de dalo . Abu Talhah razi Allahu anhu ne kaha . Ya Rasool Allah! Main aisa hi karoon ga . Chunanche unhon ne isay apne rishtadaron aur chacha ke larkon ko de diya . Abdullah bin Yusuf ke saath is riwayat ki mutaba'at Rooh ne ki hai . Yahya bin Yahya aur Ismail ne Malik ke wasta se ( «rabih» ke bajaye) «ra'ih» naqal kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة