الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {لَنْ تَنَالُوا الْبِرَّ حَتَّى تُنْفِقُوا مِمَّا تُحِبُّونَ} إِلَى: {بِهِ عَلِيمٌ}:
Chapter.“By no means shall you attain Al-Birr (piety, righteousness; it means here Allah’s Reward, i.e., Paradise) unless you spend (in Allah’s Cause) of that which you love...”(V.3:92)
Show diacritics
Hadith Number: 4554
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، انه سمع انس بن مالك رضي الله عنه، يقول: كان ابو طلحة اكثر انصاري بالمدينة نخلا، وكان احب امواله إليه بيرحاء، وكانت مستقبلة المسجد، وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم يدخلها ويشرب من ماء فيها طيب، فلما انزلت لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92 قام ابو طلحة، فقال: يا رسول الله، إن الله يقول: لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92، وإن احب اموالي إلي بيرحاء وإنها صدقة لله، ارجو برها وذخرها عند الله، فضعها يا رسول الله حيث اراك الله، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بخ، ذلك مال رايح، ذلك مال رايح، وقد سمعت ما قلت، وإني ارى ان تجعلها في الاقربين"، قال ابو طلحة: افعل يا رسول الله، فقسمها ابو طلحة في اقاربه، وفي بني عمه، قال عبد الله بن يوسف، وروح بن عبادة: ذلك مال رابح، حدثني يحيى بن يحيى، قال: قرات على مالك مال رايح.
Hum se Ismail bin Abi Oways ne byaan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik ne byaan kiya , un se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Madinah mein Abu Talha razi Allahu anhu ke paas Ansar mein sab se zyada khajooron ke darakht thay aur Bayruha ka bagh apni tamam jaidad mein unhein sab se zyada azeez tha . Yeh bagh Masjid e Nabwi ke samne hi tha aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi is mein tashreef le jate aur is ke meethe aur umdah pani ko peete , phir jab aayat «lan tanalul birra hatta tunfiqoo mimma tuhibboon» ”jab tak tum apni azeez tareen cheezon ko na kharch karo ge naiki ke martaba ko na pahunch sako ge .“ Nazil hui to Abu Talha razi Allahu anhu uthay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Allah Ta'ala farmata hai ke jab tak tum apni azeez cheezon ko kharch na karo ge naiki ke martaba ko na pahunch sako ge aur mera sab se zyada azeez maal Bayruha hai aur yeh Allah ki raah mein sadqa hai . Allah hi se main is ke sawab o ajr ki tawaqqo rakhta hoon , pas ya Rasool Allah! Jahan Aap munasib samjhein usay istemal karein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke khoob yeh faani hi daulat thi , yeh faani hi daulat thi . Jo kuch tum ne kaha hai woh main ne sun liya aur mera khayal hai ke tum apne azeez o aqraba ko usay de do . Abu Talha razi Allahu anhu ne kaha ke main aisa hi karoon ga , ya Rasool Allah! Chunanche unhon ne woh bagh apne azeezon aur apne naata walon mein baant diya . Abdullah bin Yusuf aur Rauh bin Ubadah ne «zhalika maalun raayihun» ( «ribh» se) byaan kiya hai . Yani yeh maal bahut nafa dene wala hai . Mujh se Yahya bin Yahya ne byaan kiya , kaha ke main ne Imam Malik ke samne «maalun raayihun» ( «rawah» se) parha tha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4555
حدثنا محمد بن عبد الله الانصاري، قال: حدثني ابي، عن ثمامة، عن انس رضي الله عنه، قال: فجعلها لحسان لي منها شيئا.
Hum se Muhammad bin Abdullah ne byaan kiya , kaha hum se Ansari ne byaan kiya , kaha ke mujh se mere walid ne byaan kiya , un se Sumama ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke phir Abu Talha ne woh bagh Hassan aur Ubayy razi Allahu anhuma ko de diya tha . Main in donon se un ka zyada qareebi tha lekin mujhe nahi diya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain